Riyadh: Saudi Arab ne duniya bhar mein taizi se phailtay jaan lewa Coronavirus ke mumkina phelao ke pesh e nazar Ramadan ul Mubarak mein Taraveeh ke ijitmaat par pabandi ayed kardi hai. Saudi wizarat Islami umoor ne elaan kiya hai ke Ramadan Ul Mubarak ke douran Namaz Taraveeh sirf ghar mein ada ki jaye gi kyunkay Coronavirus ke khatmay tak awaami ijitmaat aur Masajid mein Namaz ke ijitmaat par pabandi hogi. Saudi Arab ke muqami akhbar ke mutabiq Saudi wazeer baraye Islami umoor Dr Abdal Latif ul Shaikh ne kaha hai ke Masajid mein rozana panchoun Namazoun ki adaigi ki muatali Namaz Taraveeh ki muatali se ziyada ahem hai.
Unhoun ne kaha ke hum Allah Rab Ul izzat se dua karte hain ke wo Masajid ya gharoun mein Namaz Taraveeh qubool kere, Unhoun ne bataya ke ye faisla logoun ki sahet ke hawalay se behtari ke liye kiya gaya hai. Unhoun ne Allah Rab Ul Izzat se Dua karte huve kaha ke Allah hum sab ki duayen qubool kere aur insaaniyat ko is waba se mehfooz rakhay jo poori duniya mein taizi se phail rahi hai aur nuqsaan pouncha rahi hai. Saudi wazeer ne Corona se jaan bahaq honay waloun ke janazay ke hawalay se ye baat bhi wazeh ki ke wizarat sahet aur mutaliqa hukkaam ki janib se jari kardah hidayat aur ahteyati tadabeer ke mutabiq maiyat ke ahal khanah ke 5 se 6 afraad marnay walay ke liye Namaz e janaza ada kar saktay hain.
Unhoun ne ijitmaat ki momanat par zor dete huve kaha ke Namaz e janaza ek Wajib Namaz hai jisay infiradi tor par padhna mumkin hai, Zurori nahi ke qabrustan mein Namaz e janaza ada ki jaye, Maiyat ke lawahiqeen mein se 5 se 6 afraad Namaz e Janaza mein shirkat kar saktay hain jabkay baqi afraad apne gharoun mein Namaz ada karen. Saudi wazeer ne is baat par zor diya kaha is waqt sab se ahem baat awaami ijitmaat ka nah hona hai taakay corona jaisay jaan lewa Virus ki ensaan se ensaan mein muntaqili ki sharah ko kam se kam kiya ja sakay. –YTN STAFF