Saturday, May 4, 2024
HomeExclusiveSaudi arab mein mouseeqi aur film beeni ki badhti laanat, 2019 mein...

Saudi arab mein mouseeqi aur film beeni ki badhti laanat, 2019 mein lakhoun log Lahu-la’ab mein mashgool rahay

Riyadh: Saudi wizarat Saqafat ne mumlikat mein saqafati manzar nama se mutaliq pehli salana report jari ki hai. wazeer Saqafat shehzada Badar bin Abdullah bin farhan ne report mein saqafati aur adbi sar garmion ke ghair mamooli phelao ko ujagar kiya hai.

Tafseelaat ke mutabiq mumlikat ki tareekh mein pehli martaba theatre, libraries, zuban-e, virsay, ajaaeb gharon, khaano, moseeqi, malbosaat, tareekhi vo saqafti maqamat aur ranga rang mailon ke baare mein adad wo shumaar aur khususiyaat sarkari report mein jari ki gayi hain.

Report ke mutabiq 55 feesad Saudi aur muqeem ghair mulkion ne guzishta 12 mah ke douran kam az kam kisi ek melay ya programme mein shirkat ki hai. saal 2019 ke douran eid-ul-fitar ke mauqa par 90 Saudi shehron mein 350 programme kiye gay. akaz Mela 2019 ke shaiqeen ki tadaad 498185 tak pohanch gayi

Mumlikat mein panchwin aur chhatay ashray ke baad pehli martaba music se dilchaspi ka badeay pemanay par muzahira kiya gaya. noujawanon ki teams ubhar kar samnay aayen. mumlikat bhar mein concert hue. un dinoun Saudi arab ki ganai teamoun mein 950 se ziyada arkaan sargaram hain. 55 laakh se ziyada afraad mukhtalif iblaghi zaraye se music sun rahay hain.

Ek saal ke douran 604 adbi kitaaben shaya huien. 161 Saudi novel record par aaye jabkay Saudi novel nigaron ney arabi novel par aalmi award haasil kiya. tafrehi sar garmion ki sarparasti ke mahol mein cinema ghar bahaal hue. guzashta baras ke aakhir taq 40 laakh afraad cinema ghar jaakar filme dekh chuke hain. Ek saal mein Saudi arab ney 101 filme tayyar ki hain.

Mumlikat mein drama naweesi ki ibtida 1932 mein hui thi. 2019 ke douran Saudi arab mein stage dramay record tadaad mein pesh kiye gaye. Saudi saqafati society aur akhama tafrihat ne 155 dramay stage kiye. un mein 94565 shaiqeen shareek hue. Saudi theatre ko 300 aalmi award bhi miley. jazeera numbaye arab mein press ki tareekh 18 win sadi ke aakhir se shuru hoti hai jabkay 20 win sadi ke wast mein Saudi sahaafat ki badolat press ka kirdaar barha aur tasneef wo taleef ki nai tehreek shuru hui.

Saudi arab mein nashro-ashaat ki market ka hajm 4.5 arab riyal ka hai. Ek saal ke douran king Fahad national library mein 7687 kitabon ka indraaj hua. un mein se 18.26 feesad kitaben mukhtalif zabanon se arabi mein tarjuma shuda hain. –YTN STAFF