Sunday, May 11, 2025
HomeTrending NewsSaudi Arab mein Masajid mein Jummay aur Jamaat ki Namaz par honoz...

Saudi Arab mein Masajid mein Jummay aur Jamaat ki Namaz par honoz pabandi

Riyadh: Saudi Arab ki wizarat Islami umoor o dawat o rahnumai ney kaha hai ke mumlikat bhar ki Masajid mein Jummay aur Jamaat ki Namaz par pabandi barqarar hai aur Curfew mein guzashta roz narmi dainay ke baad bhi ye pabandi hunooz jari hai. Wizarat Islami umoor ney ye vazahti bayan Social Media par gardish karne wali un afwahoun ki tardeed mein Twitter ke apne Account par jari kiya hai. Social Media daawa kiya ja raha tha ke mumlikat ki Masajid mein Jummay aur Jamaat ki Namaz jald bahaal ki jaaney wali hai. Ye bhi kaha ja raha tha ke tareekhen mutayyan kardi gayi hain aur kisi bhi waqt elaan kardiya jayega.

Wizarat Islami umoor ney bayan mein mazeed kaha ke aam Masajid aur Jumme Masjid mein Namaz par pabandi ka silsila hunooz barqarar hai taham Masajid ki safai, Islaah o murammat aur Sanitizing ki karwai hifazati tadbeer ke tor par ki jarahi hai. Bayan ke mutabiq baaz logoun ney Masajid mein safai, Islaah o murammat aur Sanitizing ki karwai ke manazair dekh kar apni taraf se ye nateeja nikaal liya tha ke ye Masajid kholnay ki janib pehla qadam hai. Kayi loog is mein izafah karkay ye baat bhi keh rahay they ke Masajid bohat jald khilnay wali hain. Yaad rahay ke Saudi Arab ney Coronavirus ko phelnay se roknay ke liye hifazati tadbeer ke tor par 17 March 2020 ko Masajid mein Namaz par pabandi ka elaan kiya tha. –YTN STAFF