Friday, May 17, 2024
HomeSliderSaudi arab mein Masajid kholnay ka elaan, Umrah par hunooz pabandi

Saudi arab mein Masajid kholnay ka elaan, Umrah par hunooz pabandi

Riyadh: Saudi Wizarat-e-dakhla ne coronavirus se nimatnay ke liye sahet hukkaam ki sifarshaat par curfew aur hifazati iqdamaat mein narmi ka elaan kiya hai aur dakhli parwazein bhi shuru ki ja rahi hain. Saudi khabar rasan idaray SPA ke mutabiq jummerat 28 May se hafta 30 May tak Saudi arab ke tamam ilaaqoun mein subah 6 bajey se lekar seh pehar 3 bajey tak gharoun se nikalne ki ijazat hogi.

Itwaar 31 May se hafta 20 June ki shaam tak subah 6 bajey se raat 8 bajey tak curfew mein narmi rahay gi jabkay mecca mukkramah jabkay mecca mukarramah is sahoolat se mastasni hoga. Curfew se kharij auqaat mein khangi gaadi se mumlikat ke tamam shehron aur sobon mein aaney jaanay ki ijazat hogi. itwaar 31 May se Saudi arab ki tamam masajid jummay aur farz namazein jamaat ke sath ada karne se khol di jayengi. Mecca Mukaramah ki masajid is se Mashna hongi.

Masajid mein hifazati tadabeer ki pabandi laazmi hogi. Masjid al haram mein jummay aur ba-jmaat namazain ahteyati tadabeer ke sath jari rahengi. curfew se kharij auqaat mein mutadid mazeed iqtisadi aur tijarti sar garmion ki bhi ijazat day di gayi. is mein thook aur retail ka kaarobar karne wali dukanain khulengi, tijarti marakaz aur Malls bhi kholeen jayenge.

Wizarat-e-dakhla ne takeed ki hai ke aisay tamam kaam jin mein samaji doori ki shart poori na hoti ho un par pabandi jon ki ton barqarar rahaygi. un mein Barber shops, beauty parlor, fitness center, Play ground, sports club, tafrehi marakaz, cinema ghar waghera hasb-e-sabiq band rahenge.

 

Wizarat-e-dakhla ne bayan mein kaha ke itwaar 31 May se hafta 20 June ki shaam tak naya tareeqa-car apnaya jayega. Saudi arab ke tamam ilaaqoun mein subah 4 bajey se raat 7 bajey tak gharon se niklne ki ijazat hogi. Mecca Mukaramah is sahoolat se mastasni hoga. aisi tamam iqtisadi aur tijarti sar garmion ki ijazat hogi jinhein is se pehlay istashna diya ja chuka hai. sarkari idaron aur khangi companiyon mein duty ki muatali khatam kar di jayengi.

wazaraton, sarkari idaron aur khangi companiyon mein duty ki muatali khatam kardi gayi. mulazmeen muqarara zawabit ke mutabiq dafatir mein duty denge. wizarat samaji behbood, wizarat sahet aur mutaliqa idaron ke sath yakjahti paeda karkay duty zawabit tayyar karegi.

Hifazati aur ahteyati tadabeer ke sath dakhli parwazein bahaal kardi gayi hain. mehakma shehri Hawa baazi, wizarat sahet aur mutaliqa idaron ke sath yakjahti paeda karkay hifazati aur ahteyati tadabeer karega. Saudi arab ke tamam ilaqoun ke darmiyan transport ke mukhtalif wasail ke zariye safar par pabandi khatam kardi gayi hai Albata mutaliqa idaray zarori ahteyati tadabeer aur iqdamaat ke paband honge.

Sabiq faisloun ke Mutabiq mustasna sargarmion ke alawa curfew se kharij auqaat mein deegar iqtisadi sargarmia shuru karne ki ijazat hogi. Restaurant hifazati tadabeer ki pabandi ke sath khul jayenge. qehwa khaanoun ko bhi is ki ijazat hogi. samaji doori ki shart poori na karsakne wali sargarmia hasb-e-sabiq band rahengi. awaami maqamat par 24 ghantay samaji doori ki pabandi jari rahaygi. alawa azeen shadi ki taqrebaat aur taziyati ijitmaat mein pachaas se ziyada afraad ke jama honay ki ijazat nahi hogi. 21 June itwaar se mumlikat ke tamam ilaqoun aur shehron mein halaat  mamool par aajayinge taham Mecca mukarramah mein pabandi Bar qarar rahaygi.

Tamam shehrion aur muqeem ghair mulkion ko hidaayat ki gayi hai ke wo Hifazati tadabeer ki pabandi karen. bayan mein kaha gaya ke curfew ke douran muhallay mein walk ki ijazat hogi. Umrah aur ziyarat par pabandi barqarar rahaygi. bain ul aqwami parwazein ta-ittela sani moattal rahengi. nai sorat-e-­haal ke hawalay se hifazati iqdamaat mein narmi aur sakhti ka faisla hoga. –YTN STAFF