Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsSaudi Arab mein Malls kholnay ke baad zindagi mamool ki taraf gamzan

Saudi Arab mein Malls kholnay ke baad zindagi mamool ki taraf gamzan

Riyadh: Saudi Arab ke tamam shehroun mein Curfew mein narmi ke baad iqtisadi sargarmia juzwi tor par bahaal hona shuru hogai. Tijarti marakaz, Retail ke taajiroun ki dukanain aur niji companian khilnay par hazaroun tarkin gharoun se nikal kar tijarti marakaz aur marketoun ka rukh kar rahay hain. Tafseelaat ke mutabiq Mecca Mukarmah aur mukammal Lockdown walay mehloun mein Curfew abhi baqi hai. Saudi hukkaam ne Coronavirus ki waba ko phelnay se roknay ke liye iqtisadi sar garmioun ke hawalay se sakht faislay kar rakhe hain. Maroof Saudi iqtisadi tajzia nigaar fazl Abu Ayeen ne is yaqeen ka izhaar kiya hai ke iqtisadi sar garmioun ki juzwi bahaali se niji idaroun ke iqtisadi masail ka boojh kam hoga khusoosan naqdi ki qillat daur hogi. Tajzia nigaar ne mazeed kaha ke halaat ka rukh bata raha hai ke jald mumlikat bhar mein tamam iqtisadi sargarmia bahaal kardi jayengi.

Marketoun ki bandish ka khamyazh maeeshat ko jhelna pad raha hai ye ghayer-maa’mooli hai. Mustaqil bunyadoun par usay bardasht nahi kiya ja sakta. Iqtisadi sargarmia band karne ka nuqsaan Corona se pounchanay walay nuqsaan se kisi tor kam nahi.

Iqtisadi sar garmioun ki juzwi bahaali mukammal bahaali ki taraf bada qadam hai. Waba ka daira jaisay jaisay tang hota jayega waisay hi iqtisadi sargarmia bahaal karne ka daira wasee hota chele jayega. Abu Ayeen ne is aetemaad ka izhaar kiya ke iqtisadi idaroun ki juzwi bahaali se tijarti idaray Ramadan mausam aur Eid mausam ka Cake kha sakenge. Is ke khushgawar asraat maeshat, Tijarat sab par padinge. Waba ki wajah se hukoomat par padney wala izafi boojh bhi kam hoga.

Abu Ayeen ne wazeh kiya ke Corona ke khatraat ne duniya bhar ke mulkoun ko sakht ahteyati tadabeer apna ne par majaboor kiya. Iqtisadi sar garmioun ki bandish ne tijarat, Sanat, Maeeshat sab ko moattal kardiya. Mulazmeen Curfew mein Duty mein nah jany ke baais rozi roti ke zaraye se mutasir huve. Ab duniya bhar mein iqtisadi sargarmia tadreeji tor par bahaal karne ki hawa chal padi hai lekin is ke sath waba ko phelnay se roknay ke liye hifzaan sahet ke zawabit par amal dar-aamad bhi na guzeer qarar diya ja raha hai.

Yaad rahay ke Saudi hukkaam ne mumlikat bhar mein Saudi shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ko 20 Ramadan tak subah 9 se leker sham 5 bajey tak gharoun se nikalny ki ijazat di hai. Kayi iqtisadi aur tijarti sar garmioun par se pabandi uthali hai. Pabandiyan uthany ka faisla 29 April se 13 May tak mo-asar hoga. Yaad rahay ke wizarat baldiyat o dehi umoor ne Curfew ke douran tijarti marakaz aur Malls kholnay ki sharait jari ki theen.

Wizarat baldiyat o dehi umoor ne kaha ke Curfew ke douran Malls aur tijarti marakaz ko zawabit ki pabandi karna hogi. Tamam sarfeen aur karkunaan ke darmain har waqt mehfooz faisla rakhna hoga. Logoun ke ijtima se guraiz karna hoga. Currency Note ke istemaal se hatta ul imkan ijtinab barat-te huve Machine zaraye se raqum adaigi karna hogi. Tijarti markaz ya Malls mein daakhil honay ke amal ko munazzam karna hoga. Sarfeen ko hadd se ziyada tadaad mein daakhil honay se roka jayega. –YTN STAFF