Friday, June 6, 2025
HomeLatest NewsSaudi Arab mein lakhoon saal pehlay ki zindagi ke assaar daryaft

Saudi Arab mein lakhoon saal pehlay ki zindagi ke assaar daryaft

Riyadh: Saudi mehakma sayahat-o-qaumi assaar ke mutabiq mulk mein 44 muqami aur bain-ul-aqwami temen assaar qadima ki talaash ke liye kaam kar rahi hain. Saudi Arab guzashta 5 barsoun ke douran tareekhi maqamat par tehqiqaat ke hawalay se duniya ke taraqqi yafta mumulk ki saf mein shaamil hogaya hai. Tafseelaat ke mutabiq mehakma sayahat-o-qaumi virsay ke matehat tehqeeqi mutalaat ke director general Dr Abdullah A. Al-Zahrani ne kaha ke Saudi Arab ne mukhtalif ilaaqoun mein daryaft hone walay nawadiraat ki numayesh ka silsila shuru kiya hai.

Rome mein hone wali numayesh 3 ma tak jari rahay gi. Mumlikat ke mukhtalif ilaaqoun se 52 nuwadar numayesh ke liye muntakhib kiye gaye hain. Is se qabal ye numayesh 16 aalmi shehroun mein munaqqid ki jachki hai. Dr Abdullah Al-Zhrani ne mazeed kaha ke Saudi Arab mein daryaft hone walay assaar qadima se poori duniya ko ye pegham ja raha hai ke Saudi Arab azeem-ul_shan tahazeeb-o-tamaddun ka mulk hai. Yahan maazi qadeem mein baday baday tamaddun maaraz wujood mein aachukay hain.

Nai tehqeeq se ye baat maloom huva hai ke jazeera numaye Arab ka beshtar ilaqa Saudi Arab ke paas hai. Ye ilaqa insanoun aur qudrati hayaatiyaat se abad raha hai. Yahan 10 lakh baras pehlay tak zindagi ke assaar daryaft hue hain. Saudi Arab daryaaon aur sabza zaroon ka ilaqa tha. Unhoun ne mazeed kaha ke Rome mein numayesh mein 326 shahkaar pesh kiye jayen ge. Saudi Arab mein mukhtalif maqamat par sang ke sutoon daryaft hove hain. Un mein se 3 numayesh mein rakhay jayen ge. Un ki tareekh 4 hazaar qabal maseeh qadeem hai. Numayesh ke ek hissay mein Temya Al-Alla Al-Fouqarya Saaj aur Ralcharha tamadanoun ke numainda 55 aasar rakhay jayen ge.

Numayesh ke ek hissay mein Temya Al-Alla, Al-Faoqarya aur Saaj Ralchar tamadanoun neez 1 hazaar qaba maseeh se le kar satwen sadi eewsi tak ke tamadon ke 125 nawadar pesh kiye jayen ge. Ye Saudi Arab ke mukhtalif ilaaqoun se daryaft hue hain. Khaas tor par Temaa, Al-Alla, Al-Faov aur najran se ye nawadar miley hain. Numayesh ke ek hissay mein Islami daur ke tamaddoun ki numaindagi hogi. Satwen sadi hejri tak ki Hajj shaahrahoun ka taaruf karwaya jaye ga. Is hawalay se Mecca Mukaramah, Al-Rabzat aur Madina Munawwara ke Al-Mabeyaat maqamat se milne walay 89 tareekhi Nawadar rakhay jayen ge. Baab-e-kaaba aur ghilaaf kaaba numayesh ka ahem tareen hissa hon ge. –YTN STAFF