Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab mein jummay ko saal ka dosra chaand gehan

Saudi Arab mein jummay ko saal ka dosra chaand gehan

Riyadh: Saudi Arab mein jummay 5 June ko rawan saal ka dosra chaand gehan hoga. Is saal chaand gehan 4 martaba hoga. Jeddah mein falkiyati anjuman ke sarbarah Engineer Majid Abu Zahera ne kaha hai ke Saudi Arab main jummay 5 June 13 shawaal ko saal rawan ka dosra chaand gehan nazar aeyega jo 3 ghantay 15 minute tak jari rahega. 

Abu Zahera ne kaha ke chaand gehan seya numa hoga. Jab raat ke waqt chaand ki roshni madham padtee hai aur is ka bada hissa sooraj ki roshni se munawar hota hai to ye( seya numa chaand gehan ) kehlata hai. Ye waqea is waqt hota hai jab chaand kurrah arz ke madaar mein qareeb tareen maqam par hota hai. Jis se chaand ka hajam is ke haqeeqi osat hajam se 3.3 feesad bada nazar aata hai.

Abu Zahera ke mutabiq is terhan ka chaand gehan baik waqt tamam ilaaqoun mein hota hai. Gehan Greenwich  time ke mutabiq 5 baj kar 45 minute ke waqt kurrah arz ke saaye walay hissay mein daakhil honay par shuru hoga. Is mein koi tabdeeli nazar nahi aayegi. Dekhnay waloun ko chaand waisa hi nazar aayega jaissa ke aam tor par nazar aata hai isi douran Greenwich time ke mutabiq raat 7 baj kar 12 minute par chaand poora hojayega. 

Chaand gehan Greenwich time ke mutabiq raat 7 baj kar 25 minute par nuqta urooj ko poanch jayega. Is douran is ka 57 feesad hissa kurrah arz ke saya numa madaar mein hoga. Phir Greenwich time ke mutabiq 9 baj kar 4 minute par saya numa girhan khatam hojayega. Yaad rahay ke saya numa chaand gehan ke 2 haftay baad 21 June 29 shawaal ki subah ko Saudi Arab sameit poori Arab duniya mein sooraj gehan hoga. –YTN STAFF