Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab mein iqtisadi halaat ka jaiza lainay G20 ka Online ijlaas

Saudi Arab mein iqtisadi halaat ka jaiza lainay G20 ka Online ijlaas

Riyadh: Saudi Arab ke wazeer khazana Mohammed Al-Jadaan ne kaha hai ke Saudi hukoomat iqtisadi sargarmia batadreej bahaal karne ki tajweez par ghhor kar rahi hai. Wazeer khazana ne Coronavirus ki waba se mutaliq naye iqtisadi halaat ke hawalay se Video Conference ki hai. Saudi Media ke mutabiq Al-Jadaan ne kaha ke Saudi hukoomat sahet aama ko nuqsaan pohanchaye baghair iqtisadi sargarmia batadreej bahaal keregi. Is hawalay se jaizay tayyar kiye jarahay hain.

Al-Jadaan ne kaha ke Corona bohraan ke nuqsanaat ka muqaabla karne ke liye aalmi baradri ke sath mil kar Corona ki taaza sorat e haal par nazar rakhay huve hain. Shah Salman ne G20 ke qaideen se darkhwast karkay pehli hungami Online sarbarah Conference talabb ki thi. Unhoun ne kaha ke Conference ke mauqa par G20 ke qaideen ne is azm ka izhaar kiya tha ke tamam mumalik mil kar waba se peda honay walay samaji aur iqtisadi nuqsanaat ki talaafi karen ge aur maeeshat ki bahaali ke liye wazeh iqdamaat karenge.
Wazeer khazana ne kaha ke khadsha hai ke Corona bohraan kayi mah tak chalega mumkin hai ke is se peda honay walay sahet masail 2020 ke aakhir tak chaltay rahen. Hifazati iqtisadi iqdamaat ka elaan kiya gaya hai wo sab earzi hain. Un par amal daraamad taizi se kiya jata rahay. Agar sahet halaat ne ijazat di to hukoomat iqtisadi sargarmia batadreej bahaal keregi sar garmioun ki bahaali ke hawalay se ahtheyat musalsal nigrani aur zurori faislay jald karne ka ihtimaam kiya jayega.

Unhoun ne kaha kay mehfooz zar e mubadla ki badolat Saudi Arab bohraan ka muqaabla mazboot muaqqaf ke sath karne mein kamyaab raha hai.

Wazeer khazana ne itminan dilaya ke Saudi shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ki sahet salamti Saudi hukoomat ki pehli tarjeeh hai. Virus se nimatnay ke liye sahet ke shobay ko 47 Arab Riyal ka izafi Budget diya gaya hai.

Saudi maeeshat ko Corona ki wajah se aamdani mein kami ka Challenge darpaish hai. Sarkari akhrajaat darpaish Challenges ko mad e nazar rakhay huve mutawazan andaaz mein kar rahay hain. Hamari koshish hai ke awam is bohraan se muashi tor par mutasir nah hon. Al-Jadaan ne kaha ke mehfooz asasoun se 110 se 120 Arab Riyal se ziyada nikaalne ki zaroorat nahi pade gi. Shah Salman aur Wali Ahad wazeh hidayat diye huve hain ke niji idaroun ke vajbat pehli fursat mein ada kardiye jayen. Is mad mein 23 Arab Riyal mukhtas kiye ja chukay hain.

Al-Jadaan ne kaha ke Saudi hukoomat mazeed madad ke liye Corona bohraan se ziyada mutasireen honay walay shobo ke halaat ka musalsal jaiza le rahi hai. Fees ki adaigi ya maqabil maali maaf karne ya baaz fees nah lainay ki tajaweez zair ghhor hain. Fees ki vasuli 6 mah se 9 mah tak multawi ki ja sakti hai. Jin Fees ko multawi karne ka feslah kiya gaya hai inhen mukammal tor par maaf karne ka bhi jaiza liya ja raha hai. –YTN STAFF