Riyadh: Saudi Arab mein ek janib khawateen ki azaadi ke naam par inhen kayi ek shobo mein wo ijazat aur sahuliyaat faraham ki gayi hain jo kay mazi mein nahi then lekin is ka ab dosra manfi pehlu ye ho raha hai ke ghiar mazhab libaas mein honay wali giraftaryoun mein izafah honay laga hai. Ghair ikhlaqi libaas aur sar garmioun mein ek mah ke douran 222 afraad giraftar huve hain.
Police ne ghair ikhlaqi libaas aur sar garmioun par ek mahinay ke andar 222 afraad giraftar kiya hai jin mein 96 khawateen bhi shaamil hain. Tafseelaat ke mutabiq Riyadh police ke tarjuman ke hawalay se bataya ke ye adad o shumaar ek mah ke hain. Awaami maqamat par ghair ikhlaqi libaas mein ghoomnay wali ladkiyoun aur ladkoun ko giraftar kiya gaya hai. Yaad rahay ke Saudi Arab ke tamam shehroun khasosan Dar-ul-hukoomat Riyadh, Jeddah, Dammam, Alkhobar aur Tabuk waghera mein samaji tahazeeb aur mulki eqdaar o riwayaat ki pabandi sakhti se karwai jarahi hai.
Maazi mein ye kaam idaara ( Bhalai ki Talqeen aur buraiee se roknay wala idaara ) anjaam diya karta tha. Naye nizaam ke tehat ye kaam police ke supurd kardiya gaya hai. Police is silsilay mein mo-asar kirdaar ada kar rahi hai. Yaad rahay ke Saudi kabeena ki janib se ikhlaq aama ke hawalay se qarardaad manzoor ki gayi hai. Qarardaad mein kaha gaya hai ke awaami maqamat par ghair munasib libaas jis par ghair ikhlaqi ibaarat ya tasweer bani ho sakhti se mana hai. Khilaf warzi karne walay ikhlaq aama qanoon ke dairay mein ayen ge jin par 5 hazaar Riyal tak jurmana aed kiya jaye ga. –YTN STAFF