Sunday, April 20, 2025
HomeTrending NewsSaudi Arab mein Eid ke din Curfew rahega

Saudi Arab mein Eid ke din Curfew rahega

Riyadh: Saudi hukoomat neh mulk bhar mein naye Coronavirus ko phelnay se roknay aur is se bachney ke liye muqarrar tamam hifazati iqdamaat mein Ramadan ke aakhir tak towsee kardi hai. Curfew mein jari narmi 29 Ramadan 22 May tak barqarar rahegi jabkay 30 Ramadan se 4 shawaal tak Saudi Arab ke tamam ilaaqoun aur soboun mein mukammal Curfew ka elaan kiya gaya hai.

Tafseelaat ke mutabiq wizarat dakhla ke ohdedar neh jari bayan mein kaha ke Shah Salman Bin Abdalaziz ki hidaayat par wizarat dakhla neh tamam mutaliqa idaroun ke sath yakjahti peda karkay Curfew ke hawalay se naye iqdamaat kiye hain. Sahet hukkaam ki sifarish par Novel Coronavirus se nimatnay ke liye ahem faislay kiye gaye hain. Awwal 21 Ramadan jumaraat se 29 Ramadan jummay ke aakhir tak 4 iqdamaat tey kiye gaye hain. Mustasni iqtisadi o tijarti sargarmia jon ki ton barqarar rahen gi. 25 April ko jari kardah faislay mein jin iqtisadi aur tijarti sar garmioun ki ijazat di gayi thi wo isi terhan jari rakhi ja saken gi albata muqarara hifazati tadabeer ki pabandi zaroori hogi.

 Din ke waqt 8 ghantay zurori kamoun se gharoun se niklny ki ijazat hogi. Rozana subah 9 bajey se le kar shaam 5 bajey tak Saudi Arab ke tamam ilaaqoun aur shehroun mein muqami bashinday aur muqeem ghair mulki gharoun se apni zaroriat poori karne ke liye nikal sakenge lekin Mecca is sahoolat se mustasni hoga. Muqami shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ko takeed ki gayi hai ke wo gharoun se nikaltay waqt muqarara hifazati tadabeer ka poori terhan se dheyaan rakhen. Mecca mein mukammal Curfew barqarar rahega. Mukammal Lockdown walay mehlouon, Shehroun aur alaqoun mein anay jany ki pabandi hasb sabiq barqarar rahengi. Doum 30 Ramadan haftay se 4 shawaal tak ke liye 2 pabandiyan lagai gayi hain jo ye hain. Saudi Arab ke tamam ilaaqoun aur shehroun mein mukammal Curfew nafiz rahega. Samaji faaslay ki mukammal pabandi karna hogi maslan 5 se ziyada afraad kisi ek jagah jama nahi ho satke. Khilaaf warzi par wahi jurmane aur sazayen di jayen gi jo 7 May 2020 ko wizarat dakhla ne muqarrar ki theen.

Wizarat dakhla ne tamam logoun aur idaroun se Appeal ki hai ke wo Coronavirus ko phelnay se roknay ke liye sahet o salamti ke liye muqarrar tamam hidayat ki mukammal pabandi karen. Samaji faaslay ke zawabit ka khayaal kare. Kisi be shakal mai kisi be jaga kisi be tarah ki taqreeb ya ijtema na kare. –YTN STAFF