Wednesday, May 15, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab mein Curfew ke douran Masajid mein Namaz ki ijazat

Saudi Arab mein Curfew ke douran Masajid mein Namaz ki ijazat

Riyadh: Saudi wizarat dakhla ke tarjuman Talal Al-Shalhoub ney kaha hai ke farz namazain padhnay ke liye curfew ke douran bhi Masjid jaaane ki ijazat hogi. Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq wizarat dakhla ney ek bayan mein kaha ke mumlikat bhar mai Curfew mai narmi ke baad gharo se nikalne ke auqaat tabdeel kardiye gaye hain taham Mecca Mukarmah nai tabdeeli se mastasni hai.

Wizarat dakhla ke mutabiq gharoun se nikalny ke naye auqaat teen marahil mein nafiz honge. Wizarat dakhla ke tarjuman ney bataya ke itwaar 31 May se Masajid mein farz namazain aur jummay ki namaz ada karne ki ejazat di gayi hai. Is ijazat se Mecca shehar ki Masajid mastasni hain.

Tarjuman ke mutabiq is douran muqami shehrioun aur muqeem ghair mulkion ko rozana subah 6 bajey se raat 8 bajey tak gharoun se nikalny ki ijazat hogi. Mumlikat ke mutadid ilaaqoun mein Fajar aur Esha ki namazain curfew ke douran ada ki jayen gi. –YTN STAFF