Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderSaudi Arab mein Coronavirus ke tamam mareezoun ki sehat mein behtari

Saudi Arab mein Coronavirus ke tamam mareezoun ki sehat mein behtari

Riyadh: Coronavirus ki wajah se ek janib jahan duniya bhar mein awam khauf o hiraas ke mahol mein zindagi busar karne par majaboor hain to doosri janib kayi ek mumalik mein aisi hosla bakhash khabrain bhi aa rahi hain ke Coronavirus ke shikaar mareezoun ki sahet mein behtari hora hee hai aur jin mumalik mein Coronavirus se mutasir afraad ke sahet mand honay ki khabrain hain un mein Saudi Arab bhi shaamil hai.

Saudi wizarat sahet ke tarjuman Dr. Mohammad Al- Abad Al-Aali ke mutabiq Saudi Arab mein naye Coronavirus ke mareezoun ki sahet tasalii bakhash hai. Khadshay ki koi baat nahi. Tafseelaat ke mutabiq Al-Abad Al-Aali ne kaha hai ke mumlikat mein Coronavirus ke 15 mareezoun mein se 14 Qatif aur Dammam ke dawkhanoun mein zair e ilaaj hain. Un sab ko deegar mareezoun se allag thalag rakha gaya hai. Un ki haalat khatray se baher hai.

Tarjuman ne kaha hai ke Coronavirus ka ek mareez Americi shehri hai. Ye Philippine aur Italy se hotay hue Saudi Arab pouncha tha. Is ka ilaaj Riyadh ke ek dawakhana mein kiya jaraha hai. Usay tamam mareezoun se allag thalag karkay intahi nighdasht ke shobay mein rakha gaya hai. Al-Abad Al-Aali ne kaha hai ke Coronavirus se mutasireen se milnay julne waloun ki majmoi tadaad 468 hai. Un sab ki fehrist tayyar karli gayi thi. Un ka muaina bhi kiya ja chuka hai. Unhoun ne mazeed kaha ke gharelo quarantine mein mehsoor shehrioun ki tadaad 1153 hai. Ye sab sahet mand hain. Un mein se koi bhi Coronavirus ka mareez nahi. Inhen ahteyati tadbeer ke tor par gharelo quarantine mein rakha gaya hai.

Wizarat sahet ke tarjuman ne mazeed kaha hai ke ab tak poori duniya mein Coronavirus ke ek lakh 10 hazaar mareez Record par aachukay hain. Ye taqreban 107 mumalik mein paye gaye hain. Un mein se 56 feesad shifa yab ho chukay hain jabkay Coronavirus se halaak honay waloun ki tadaad kul mareezoun ka 3.4 feesad hai. –YTN STAFF