Monday, April 21, 2025
HomeSliderSaudi Arab mein corona se khawateen ziyada khauf zada

Saudi Arab mein corona se khawateen ziyada khauf zada

Riyadh: Saudi Arab ki khawateen corona se ziyada khauf zada hain, Ye inkishaaf corona ke bohraan ke douran Saudi bashindon ki tarz zindagi aur ahteyati tadabeer ke zimn mein kiye janay walay ek survey mein huwa hai. Saudi Arab mein raye aama ke naye jaizay mein kaha gaya hai ke 96 feesad Saudi shehri gharon se mask pehan kar nikal rahay hain jabkay 88 feesad ghar se nikaltay waqt ek se ziyada ahteyati tadabeer ki pabandi kar rahay hain. 37 feesad se ziyada ne tawaqqa zahir ki hai ke School naye taleemi saal ke shuru mein khul jayen ge.

Website ke mutabiq raye aama ka jaiza DRC nami idaray nay tayyar kiya hai. Ye idaara Saudi Arab sameit GECC mumalik mein market survey aur mukhtalif tabdeelion se mutaliq maloomat ke tajziye karta hai. DRC ke jaizay mein kaha gaya hai ke 25 feesad Saudi bashindon ko tawaqqa hai ke mah rawan ke douran hi halaat mamool par ajayeen ge jabkay is hawalay se September ki tawaqqa zahir karne walon ka tanasub 38 feesad tak ka hai.

Jaizay se pata chala hai ke omar ke chouthay ashray se talluq rakhnay wali khawateen coronavirus se bohat ziyada khaufzadah hain. Un mein tashweesh ka tanasub ghayr-maa-mooli hai. Ye wo khawateen hain jo mulaazimaten kar rahi hain. DRC ke baani aur chairman Waleed Al Suleman ney Saudi shehrion ke tarz muashrat se mutaliq kiye jany walay raye aama ke jaizay par tabsarah karte hue kaha ke mein yahi kahun ga ke ba maqsad sargarmia ikhtiyar karen. Halaat mamool par anay ki tawaqqa fitrat ke ain mutabiq hai is mein koi qabahat nahi. Ye allag baat hai ke kabhi khwahisaat zameeni haqayiq se mil nahi khatain. Apni sahet ka khayaal rakhen is se zehni sahet par bhi aaccha asar pade ga.

Jaizay mein bataya gaya hai ke curfew uthany ke baad saudion ney apne rishta daaron, Dost ahbaab se milnay milaane ka silsila badhaya hai. Milnay walon ki tadaad mein izafah huwa hai. Isi ke sath ye baat bhi samnay aayi hai ke beshtar Saudi apne khaali auqaat sair gaahon aur khulay maqamat mein guzaarnay lagey hain.

 Jaizay se ye bhi pata chala hai ke awam ne thook faroshon se samaan bhaari miqdaar mein zakheera kiya hai. Zaroorat se 88 feesad ziyada samaan gharon mein mehfooz kiye hue hain. Haath dhoney ke liye sabun, Ghar ki safai mein istemaal honay wali ashya badi miqdaar mein kharidi gayeen. Mardon ke muqablay mein khawateen ne ziyada Shopping ki. 37 feesad saudion ne tawaqqa zahir ki hai ke school aur college bohat jald talba ke liye classrooms ke darwazay khol den ge jabkay 2 mah qabal 46 feesad muqami shehrion ne tawaqqa zahir ki thi ke 2 mah ke andar halaat mamool par ajayeen ge.

Kam omar ke shehri August ke mahinay mein halaat mamool par anay ke khwahish mand hain. Ye wo loog hain jin ki omrein 20 se 39 saal ke darmiyan hain. Raye aama ke jaizay mein 1538 saudion ko shaamil kiya gaya. Un ki omrein 20 se 69 baras ke darmiyan hain. Sawalaat Internet ke zariye kiye gaye.