Wednesday, May 14, 2025
HomeTrending NewsSaudi Arab mein Corona mareezoun ke liye fazai Ambulance

Saudi Arab mein Corona mareezoun ke liye fazai Ambulance

Riyadh: Saudi wizarat difaa ne fori ilaaj talabb mareezoun ke liye fazai Ambulance ki sahoolat faraham karne ka elaan kiya hai. Saudi afwaj ne fori ilaaj talabb mareezoun ko ek soobay se dosray soobay aur ek shehar se dosray shehar ilaaj ki khatir muntaqil karne ke liye fazai Ambulance ki sahoolat shuru ki hai. Ye sahoolat muqami shehrioun aur khair mulkiyoun ke liye 24 ghantay muhayya hogi.

Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq wizarat difaa ke matehat fouji tibbi khidmaat ke idaray ne kaha hai ke Novel Coronavirus ko phelnay se roknay ke liye muqarrar curfew ke baais muqami shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ko ek soobay se dosray soobay aur ek shehar se dosray shehar ilaaj ki khatir fazai Ambulance ke zariye dawakhana pohanchaya jayega. Ye sahoolat Cancer, Dil ke mareezoun aur naazuk sahet sorat e haal se dochar afraad ko faraham ki jayegi.

Wizarat difaa ke mutabiq Helicopter aur fazai Ambulance dono se kaam liya jayega. Bayan mein mazeed kaha gaya ke Saudi Arab ke mukhtalif ilaaqoun se guzashta 2 haftoun ke douran 198 se ziyada mareezoun ko fazai Ambulance ki sahoolat muhayya ki jachuki hai. Yaad rahay ke Saudi afwaj ke tibbi shobay ke matehat fazai Ambulance Saudi Arab ke andar aur baher salana 2500 se ziyada mareezoun ku dawakhane ku laane le jaaney ki sahoolat muhayya kar rahi hain. Un mein mumlikat ke andar aur baher se atiyah kiye jaaney walay aaza ki muntaqili shaamil hai. –YTN STAFF