Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab mein Cinema ghar bhi kholnay ka elaan

Saudi Arab mein Cinema ghar bhi kholnay ka elaan

Riyadh: Saudi Arab mein ke aala idaray ne cinema ghar aur filmy Shows ki mashroot bahaali ka elaan kiya hai. Coronavirus bachao aur hifazati iqdamaat ke sath cinema ghar khole ja saken ge. Media ke mutabiq Sami-o-Basri Ablagh ke aala idaray ne mumlikat mein cinema ghar malikaan se kaha hai ke Guide book ke mutabiq cinema ghar kholtey waqt hifazati ahteyati tadabeer ki pabandi karen. Idaray ne cinema ghar kholnay ke liye kayi pabandiyan lagai hain.

Bayan mein kaha gaya ke intzaar qataar mein khaday hotay waqt shaiqeen ko samaji faaslay ka paband bananay ke liye alamtain chaspan ki jayen. Cinema gharoun ke darwazoun, Ticket Counters, Khanay peenay ki ashya farokht karne wali dukanain aur washrooms sameit tamam maqamat par daidh se 2 meter ke faaslay ki pabandi karai jaye. Cinema ghar mein kursioun ki tarteeb samaji faaslay ke sath banai jaye. 2 kursiya khaali rak kar teesri kursi shaiq ke liye mukhtas ho. Ye tamam har jahat se karna hoga. Ek khandan ke afraad ek sath baith satke hain.

Ticket Counter par hujoom se bachney ke liye Online Ticket farokht karne ka silsila shuru kiya jaye aur Online Booking ki targheeb di jaye. Intizamia cinema gharoun mein shaiqeen ki aamad-o-raft ko munazzam karne aur asdhaam ko control karne ke liye darwazoun par ahelkaar tainaat kere. Shaiqeen ki sahoolat ke liye