Riyadh: Saudi Arab mein mehakma shehri hawabazi ke tarjuman Ibrahim Al-Rusaa nay kaha hai ke mehakmay nay guzashta dinon Drone ke liye hazaron License jari kiye hain. Ye license tijarti aur tafrehi dono terhan ke Drones ke liye diye gaye hain.
Muqami media ke mutabiq Al Rusaa ne kaha hai ke Drones ke indraaj aur istemaal ke tareeqakar se mutaliq naya jamia lLaihe amal jald jari hoga. Fi al-waqt Saudi Arab Drone udaaye ja rahay hain un ka talluq tafrehi aur tijarti sar garmion se hai. Saudi shehri un dinon Drones se zarayi farmon, Factories aur mukhtalif maqamat ke fazai manazair ki tasweer kashi kar rahay hain. Isi terhan ke aur bhi kayi tafrehi-o-tijarti kaam un se liye ja rahay hain.
Unhoun ney kaha ke jin logoun ko Drones ke istemaal ka license diya jata hai inhen aagah kiya jata hai ke wo Drones ka istemaal kab, Kaisay aur kahan tak kar saktay hain. License mein muqarara zawabit ki pabandi nah karne par sazaon ka saamna karna pade ga. Al Russa ney kaha ke koi bhi shakhs kisi bhi maqsad ke liye baghair license Drone istemaal nahi karsaktha jo is pabandi ki khilaaf warzi kere ga usay ek baras tak qaid aur 1 lakh riyal tak jurmane ki saza hosakti hai. Dono sazaon mein se kisi ek par bhi iktifa kiya ja sakta hai.
Drone udane ke license ke hawalay se kaha ke mehakma shehri hawa baazi se license haasil kiya huwa hai. Drone 3 se 7 Kilo meter tak ka faasla tay karsaktha hai.