Sunday, May 11, 2025
HomeSliderSaudi Arab mein ab Nikah online hon ge

Saudi Arab mein ab Nikah online hon ge

Riyadh: Saudi wizarat insaaf ne online nikah ka tareeqakar jari kar diya hai. Aindah Saudi shehri aur muqeem ghair mulki online nikah kar saken ge. Inhen nikah ke liye adalat jane ki zaroorat nahi ho gi. Tafseelaat ke mutabiq wizarat insaaf ne online nikah ke qanoon ke hawalay se video clip bhi jari kiya hai jis mein is ke fawaid se aagah kiya gaya hai. Online nikah se naye jodey aur unke rishte daaroun ko adalat ke chakkar nahi lagana paden ge.

Ilawa azeen umeed waar ko sab se pehlay wizarat insaaf ki Website par jaakar nikah ke qanoon ki baabat maloomat haasil karna hon gi. Is ke baad umeed waar ko matlooba maloomat ka indraaj karwana hoga. Nikah khwan ka intikhab, Nikah ki tareekh aur waqt mutayyan karna pade ga. Umeed waar ye tamam tafseelaat ke sath wizarat insaaf ki Website par darkhwast beje ga. Wizarat insaaf nikah ke khawahish mand shakhs aur nikah khwan ke liye az khud paighamaat rawana kere gi.

Aglay marhalay mein nikah khwan dulah aur dulhan ke shanakhti card ke number aur unki tareekh paidaiesh nikah ke tehat system mein darj kere ga. Is ke jawab mein wizarat insaaf se iske naam ek SMS aeye ga. Ye manzoori ka SMS hoga jis ke baad wo nikah padhaye ga.

Nikah ki is karwai ke baad teesra marhala shuru hoga jis mein dulah aur dulhan finger prints ke zariye dastakhat karen ge aur qawah hazraat ki board ke zariye dastakhat karen ge. Online nikah ke hawalay se ittila melitay hi shadi ke khawahish mand jodoun ke halqoun mein khusi ki lehar daud gayi.

Awam ne kaha hai ke is ki badolat ab wo kaghaz ke istemaal se be niaz hogaye hain. Online nikah ki badolat fariqain ke haqooq mehfooz hogaye. Inhen adalat ke chakkar bhi nahi lagana padege, Is terhan koi bhi shakhs online shadi kar sakay ga. –YTN STAFF