Riyadh: Saudi Arab ke shumali ilaqay Al Jowf mein 77 Masajid ko Namaz jummay ke liye dobarah kholnay ki mukammal tayari karli gayi hai. Saudi sarkari khabar rasan Agency ke mutabiq Al Jowf Commissioner mein namazioun ke darmain samaji faasla barqarar rakhnay ke iqdamaat ko mad e nazar rakhtay huve mazeed 77 Masajid ko jummay ki namaz ke liye khol diya jayega. Coronavirus ke baais is ilaqay mein band masajid ke dobarah khulnay ki tadaad 175 hogayi hai.
Al Jowf mein Islami umoor ke sarbarah Audul Anzi ne kaha ke coronavirus ke philav ko roknay ke liye Masajid mein namazyoun ke darmain munasib faaslay ke intizamaa ki pabandi ko samnay rakhtay huve Masajid namazyoun ke liye dobarah kholi ja rahi hain. Coronavirus ke pesh e nazar nafiz kiye gaye lockdown ke baad se Masajid bhi band kardi gayi theen. Guzashta jummey ko Madina mein Masjid Nabwi mein honay wali Namaz jummay mein hazaroun namazyoun ne shirkat ki. Coronavirus ke philav ko roknay ke liye Masjid Nabawi ko bhi aam namazyoun ke liye band kiya gaya tha. Saudi Arab mein bajamaat namaz ke dobarah aaghaz ke liye masajid ko batadreej khoola ja raha hai jab ke tamam masajid mein coronavirus ke philav ko roknay ki tamam tadabeer ko hifazati iqdamaat ko yakeeni banaya gaya hai. Saudi Arab mein maloomat zindagi mein batadreej wapsi ke tehat 31 May se Mecca Mukarramah ki Masjid ul Haram ke ilawa deegar Masajid ko aam namazyoun ko bajmaat namaz ada karne ke liye dobarah khol diya gaya tha.