Sunday, May 11, 2025
HomeTrending NewsSaudi Arab mein 66 feesad nojawan ghair shadi shuda

Saudi Arab mein 66 feesad nojawan ghair shadi shuda

Riyadh: Saudi Arab mein nojawan nasal ke mutaliq kiye jaany walay ek salana Survey mein ye inkishaaf kiya gaya hai ke mumlikat mein 66 feesad se ziyada nojawan ghair shadi shuda hain jin ki umrein 15 taa 34 baras ke darmyan hai. Saudi mehakma shumariyat ney kaha hai ke 15 se 34 baras ki omar ke nojawan jumla Saudi abadi ka 36.7 feesad hain. Beshtar nojawanon ki umrein 20 se 24 baras ke darmain hain. Un ka tanasub 27.6 feesad hai. Saudi ladkiyon ki umrein 20 se 24 aur 25 se 29 baras ke darmain hain aur un ka tanasub 26.2 feesad hai. 2020 mein Saudi abadi mein bachon aur nojawanon ka tanasub 67 feesad hai.

Tafseelaat ke mutabiq mehakma shumariyat nay ye report 2020 ke douran nojawanon ke aalmi din ke mauqa par jari ki hai. Report ka unwan Saudi nojawan adaad-o-shumar ke dairay mein hai. Report Saudi nojawanon se mutaliq adaad-o-shumar par mushtamil hai. Is mein nojawanon se mutaliq, Samaji, Taleemi, Saqafati, Iqtisadi, Tafrehi, Sehat aur abadi ke hawalay se adaad-o-shumar diye gaye hain.

Report mein bataya gaya hai ke 15 se 34 baras ki omar walay Saudi nojawan ghair shadi shuda hain. Un ka tanasub 66.23 feesad hai. Report ke mutabiq 75.6 feesad saudi nojawanon neh shadi nahi ki. Un mein 50.4 feesad ki umrein 15 baras se 34 baras ke darmain hain jabkay 25 se 34 baras ki omar wali ladkiyon neh shadi nahi ki. Un ka tanasub 43.1 feesad hai jabkay shadi shuda Saudi khawateen ka tanasub 34.3 feesad hai.

Report mein ye bhi bataya gaya hai ke 25 se 34 baras ki omar wali Saudi khawateen mein talaq ka tanasub 1.27 feesad hai. Un mein bewa honay wali khawateen ka tanasub 0.22 feesad hai. Mehakma shumariyat nay report mein ye bhi bataya hai ke 15 baras se 34 baras ki omar walay Saudi nojawanon mein 5.5 feesad lailaaj amraaz mein mubtala hain. Un mein 5.1 feesad ladke aur 5.2 feesad ladkiyan hain.

Report mein bataya gaya ke beshtar Saudi ladkiyan aur khawateen sehat behtar bananay ke jazbay se jismani werzish kar rahi hain jabkay ladke jismani istedad behtar bananay aur tafreeh ke jazbay se ye kaam injaam day rahay hain. 15 se 34 baras ke Saudi nojawanon mein na khuwandagi ki sharah 2007 se 2017 ke muqablay mein tawajah talabb had tak kam hui hai. Ladkiyon mein khaas tor par na khuwandagi ki sharah kaafi kam huvi hai.

Report mein kaha gaya hai ke beshtar Saudi nojawanon ko taleem ke douran dushwariyan pesh nahi aare hain. Is hawalay se ladkoon aur ladkiyon ke darmain tanasub yaksaa hai. 2019 ke douran sanwi shool mein 99.8 feesad nojawanon nay dakhla liya. Report mein ye bhi bataya gaya hai ke 2019 ke douran 15 se 34 baras ke basar-e-roozgar Saudi nojawanon ki tadaad 14 lakh 89 hazaar 520 hai. Ye Saudi mulazimeen ki jumla abadi ka 47 feesad hain.