Saturday, May 18, 2024
HomeSliderSaudi Arab mein 40 hazaar afraad Quarantine mein mojood

Saudi Arab mein 40 hazaar afraad Quarantine mein mojood

Riyadh: Saudi wizarat sahet ne kaha hai ke Saudi Arab mein Quarantine aur ghar mein allag thalag kiye jaane walay afraad ki tadaad 40 hazaar se ziyada hochuki hai. Wizarat sahet ke tarjuman ne kaha hai ke Saudi shehrioun aur muqeem ghair mulkioun se Appeal ki ke agar Coronavirus se mutaliq agar kisi ke zehen mein tibbi istafsaar hoto 937 par rabita karkay jawab haasil kiya ja sakta hai. Tarjuman ne nojawanoun ko khabardaar kiya ke wo Corona ke bachao ki tadabeer se laparwai nah barten. Is silsilay mein ghaflat ka muzahira nah karen. Yaqeen rakhen ke Coronavirus se koi bhi mehfooz nahi. Sab loog hifazati tadabeer ki mukammal pabandi Karen.

Dr Mohammad Al-Abad ne zor day kar kaha ke nojawan bhi Corona ki waba se mutasir ho saktay hai. Wezarate dakhela ne muqami shehrioun se ye bhi kaha ke wo gharoun tak mehdood rehne ki pabandi karen jo shakhs bhi Curfew ki khilaaf warzi karte huve paaya jaye ga usay giraftar karliya jaye ga. Wizarat dakhla ne takeed ki ke koi bhi shakhs intahi zaroorat ke baghair ghar se nah niklay. –YTN STAFF