Saturday, May 18, 2024
HomeSliderSaudi Arab mein 13 hotels quarantine mein tabdeel

Saudi Arab mein 13 hotels quarantine mein tabdeel

Riyadh: Saudi mehakma sahet ke hukkaam ne Riyadh ke 13 Hotels ko Quarantine mein tabdeel kardiya hai. Ye iqdaam Novel Coronavirus ke sad-baab ke liye kiya gaya hai. Tafseelaat ke mutabiq beroun mulk se Saudi Arab anay walay Saudi shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ko ahteyati tadbeer ke tor par Quarantine mein rakha ja raha hai.

Riyadh ke Jan Terah Hotels ko Quarantine mein tabdeel kiya gaya hai wo tamam Five aur Saven Star Hotels hain. Mehakma sahet ke hukkaam ne un Hotels mein dawakhana qaim kiye huve hain. 24 ghantay tibbi amlah un Hotels mein rakhay gaye afraad ki sahet nigrani kar raha hai. Wizarat sahet ke ahdidaron ne kaha hai ke Corona ki waba se mutasirah maqamat se Saudi shehrioun ko androon mulk laya jata hai to inhen bhi 14 din ke liye unhi Quarantine Hotels mein rakha jata hai. Yaad rahay ke savi Arab mein Corona ke mareezoun ki jumla tadaad 344 hogayi hai. Saudi hukoomat Corona ke phelao ko roknay ke liye ahteyati tadabeer apane huve hai. –YTN STAFF