Tuesday, May 14, 2024
HomeAjaayeb wo GaraayebSaudi arab mein 1000 saal qabal maseeh ke aasar-e-Qadima daryaft

Saudi arab mein 1000 saal qabal maseeh ke aasar-e-Qadima daryaft

Riyadh:  Saudi arab mein sayahat aur qaumi virsay se mutaliq general authority ne haail soobay mein aasaar-e-Qadima ka ek maqam daryaft kiya hai jo 1000 saal qabal maseeh ke zamane ka hai. yeh muqam Hail shehar ke maghrib mein taqreeban 205 kilometer ki doori par al shumali zilla ke shumal maghrib mein waqay hai.

Hail soobay mein sayahat aur qaumi virsay se mutaliq general authority ke director general engineer Ziyad al masyul ne kaha hai ke haliya daryaft Hail soobay mein assaar-e-Qadima ke khazanoun mein ek bada izafah hai jo ilaqay mein sayahat ki taraqqi mein Muawin saabit hoga. unhoun ne kaha ke general authority is muqam ko sayaho ke istaqbaal ke liye tayyar karne par kaam karegi.

Doosri janib Hail soobay mein qaumi virsay ki dekh bhaal ke shobay ke sarbarah aur assaar-e-Qadima ke maahir Saad al rosiyan ke mutabiq mazkoorah muqam par naram reth aur rasobi chattanein payi jati hain. yahan chatanoun par badi tadaad mein tasweerai aur tehreeri nuqoosh mojood hai. Unke alawa bohat se khoob-soorat aur shaan daar khakay bhi nazar atay hain jo ghodoun aur oontoun ki tasaveer par mushtamil hain. yahan samudi daur ki tehreer ke nuqoosh bhi paye jatay hain.

Al Rawesan ke mutabiq yeh nuqoosh unn khakoun se mukammal tor par mamasilat rakhtay hain jo is se qabal Hail ke nazdeek muqam ke shumal maghrib mein waqay thikaane al zabibiya aur isi tarha Jabal-e-mosammi aur Mahja ke ilaqay mein miley they. yahan oontoun aur ghodoun ki tasaveer kunda ki gayi hain aur Hail shehar ke maghrib mein waqay ilaqay mein chaytanoun par is noiyat aur is hajam ki tasaveer wasee paemanay par phaile hui hain. –YTN STAFF