Riyadh: Saudi wizarat maholiyaat-o-pani wezarat ney is azm ka izhaar kiya hai ke Saudi Arab mein mazeed 1000 naye Dam banaye jayen ge. Is waqt mumlikat mein 521 Dam mojood hain. Saudi akhbar ke mutabiq wizarat maholiyaat ney Report jari kar ke kaha hai ke 2019 ke douran Saudi Arab mein 11 naye Dam tayyar kiye gaye jin ke baad mumlikat mein Dams ki tadaad 521 hogayi hai.
Wizarat maholiyaat-o-pani-o-zaraat ney kaha hai ke 521 Dams ki islaah-o-murammat aur dekh bhaal ka kaam baqaida ek nizaam ke mutabiq kiya ja raha hai. Mazeed ek hazaar Dam tayyar karne ke liye tafseelaat zair ghhor hain. Wizarat ney Report mein ye bhi kaha gaha hai ke wizarat ke matehat ek naya idaara qaim kiya gaya hai jisay Dams ki islaah-o-murammat aur dekh bhaal ka kaam supurd kiya gaya hai.
Wizarat ney apni Report mein ye bhi kaha ke barish ke pani ki pemaiesh ke liye 31 naye marakaz qaim kiye gaye hain. Barish ka yomiya tanasub bitanay ke liye rozana ki bunyaad par khabarnama bhi jari kiya jaaane laga hai jabkay pani se mutaliq maloomat jama karne ke liye Hydrological Network alaat ka istemaal shuru kar diya gaya hai.
Saudi Scholar Khalid Batarfi ne kaha ke mazeed Dams qaim karne ka programme is wajah se banaya ja raha hai kyunkay barish ka pani zaya ho raha hai. Taqreeban 8 Arab mak-ab meter pani naye dam ko barish se muhayya ho sakta hai . Khalid Batafi nay mazeed kaha ke naye Dams ban’nay par Saudi Arab mein khoraak ka Strategic zakheera haasil kiya jasakay ga.