Saturday, May 18, 2024
HomeSliderSaudi Arab may Hindustan ke hunar-mandoun ka profession Test hoga

Saudi Arab may Hindustan ke hunar-mandoun ka profession Test hoga

Riyaz : Saudi wizarat mehnat-o-samaji behbood ki janib se ye elaan kiya gaya hai ke beroun mulk se ane walay mahireen ke liye Test rakha gaya hai aur Profession Test Programme ke director Naif AL Ameer ke mutabiq profession Test 1 saal tak ikhtiyaari hoga. is may  mazeed towsee hosakti hai. Saudi Arab ke akhbar Al Qadisiyah ki report ke mutabiq profession Test chaar marhloun may 7 mumalik ke hunar mandoon ka hoga. pehle marhalay ka aaghaz Hindustan se anay walay hunar mandoon se kiya jayega. Saudi Arab may sab se ziyada hunar mand Hindustan hi se arhay hain. mumlikat anay walay 95 feesad hunar mandoon ka talluq Philippine, Srilanka, Indonesia , Misar, Bangladesh, Pakistan aur Hindustan se hai.

Dosray marhalay may Philippine ke hunar mandoon ka profession Test liya jayega. teesray aur chouthay marhloun may Srilanka, Indonesia , Misar, Bangladesh aur Pakistan ke hunar mandoon ko shaamil kya jayega. profession Test Programme ki fees 450 se 600 Riyal muqarrar hai. ye fees Saudi Arab may Test dainay waloun ke liye mutayyan ki gayi hai. beroun mumlikat profession Test ki fees 100 se 150 Riyal rakhi gayi hai.Al Ameer Naif ne is sawal par ke professional Test kin pishoun walay hunar mandoon ka hoga kaha hai shuruvaat Decemeber 2019 may Plumber aur Electricians peshon walay hunar mandoon se ki jayegi. jaizay ke mutabiq Saudi market may Plumber aur Electricians ke peshoun par kaam karne walon ki tadaad 2 laakh se ziyada payi gayi hai.

dosray marhalay may jis ka aaghaz April 2020 se hoga. profession Test Aircondition,gadiyoun ke Electrician aur Mechanics se liya jaye ga. profession Test ka teesra marhala July 2020 may shuru hoga. is ke tehat Carpenter, Lohaar aur welder ka Test hoga. choutha marhala October 2020 ko shuru hoga.is mein tolling ( Althalis ), rang karne walay aur tail fixer Test hoga. panchawan aur aakhri marhala January 2021 may shuru hoga. is ke tehat Myanmar, plumber aur Technician ke profession Test honge.

Al Ameer ne mazeed bataya ke profession Test may kamyabi par awwal to Certificate diya jayega. yeh 5 baras ke liye mo-asar hoga. dosra Certificate 50% se ziyada karkunaan ka Test karwnay walay idaray ke naam jari hoga. wizarat mehnat-o-samaji behbood ke mutabiq profession Test Programme ka maqsad Saudi labour market may khidmaat ka miyaar buland karna aur ghair tarbiyat Yafta amlay ki yalghaar se Saudi labour market ko bachana hai kyunkay tees laakh ghair mulkion ke paas matlooba degree nahi.

Al Ameer Naif ne mazeed kaha hai ke jaizay se pata chala hai ke Saudi labour market may taqreeban 30 lakh aisay ghair mulki karkun mojood hain jin ke pas koi badi degree nahi. yeh log mukhtalif kaam karkay hunar mand ban gaye hain. 15 laakh ghair mulki karkun aisay hain jo Electrician, Lohaar, Carpenter aur Mechanic ke tor par kam kar rahay hain. baqi driver aur aam labour ki hesiyat se mazdoori kar rahay hain. Saudi market may 2878 peshoun ki nishandahi ki gayi hai. katoti ke baad un ki tadaad 259 kar di jayegi. mustaqbil may profession Test ko laazmi karar diya jayega.-YTN STAFF