Monday, April 29, 2024
HomeLatest NewsSaudi Arab may berooni taajiroun ko kaarobar ki mashroot ijazat

Saudi Arab may berooni taajiroun ko kaarobar ki mashroot ijazat

Riyadh: Saudi Arab may berooni taajiroyun ko kaarobar ki mashroot ijazat denay ka Elaan kiya gaya hai. wizarat tijarat-o-sarmaya kaari Saudioun ke naam se ghair mulkioun ke kaarobar ke liye mukhtalif iqdamaat kar rahi hai. Saudi Market ke mukhtalif shobo may ghair qanooni tijarat ke rivaaj ke khatmay ke liye nai tajweez samnay aayi hai.
Tafseelaat ke mutabiq Saudi wizarat tijarat Saudioun ke naam se ghair mulkioun ke kaarobar ke khatmay ke liye ghair mulkioun ko tijarti idaroun ka maalik bannay ki mashroot sahoolat faraham karne ki tajweez par ghor kar rahi hai.

Ghair qanooni tareeqay se doulat kamanay aur usay mumlikat se bahar bhejnay ke sadbaab ke liye wizarat tijarat ne khangi idaron aur Companies par ye pabandi aaed ki hai ke wo Banks ke sath apna sara le-den Technical System ke zariye karen. ye pabandi is liye lagai gayi hai taakay khangi idaroun ki maliyati sar garmioun par nazar rakhi jasakay.

Wizarat tijarat ke zaraye ne kaha hai ke Saudioun ke naam se ghair mulkioun ke kaarobar ke asbaab ka jaiza mukhtalif andaaz se liya jaraha hai. maazi may ye jaiza tamam idaron ka yaksaa andaaz may liya jata tha. is martaba hikmat-e-amli tabdeel kar di gayi hai. ab har idaray ka jaiza alag se liya jayega taakay is idaray may qanoon tijarat ki khilaaf varziyoun ko thos bunyadoun par khatam kiya jasakay.

Wizarat tijarat ne ishara diya hai ke Saudioun ke naam se ghair mulkioun ke kaarobar ka maamla suljhanay ke liye 3 bunyadi iqdamaat honge. 1 to qanoon saazi hogi. 2 tamam tijarti idaroun ko Banks se jora jayega. 3 ye ke ghair mulkioun ko tijarti idaron ka maalik bannay ke mawaqay muhayya kiye jayenge. – YTN STAFF