Riyadh: Human Rights Commission ke mutabiq Saudi Arab ghair mulki karkunaan ki hak talfi karne walay aajroun ke khilaaf mukammal qanooni karwai karta hai. Saudi hukoomat ki nazar may aajir aur ajeer dono barabar hain. jo bhi kisi khilaaf warzi ka murtakib hota hai is ke khilaaf qanooni karwai ki jati hai.
tafseelaat ke mutabiq Human Rights Commission ke rukan Dr. Zaid Benjamin ne Kathmandu may ghair mulki mulazmeen ke huqooq ke tahaffuz ke mauzo par bainul aqwami Conference se khitaab kiya. Dr. Zaid ne Saudi Arab ka muaqqaf pesh karte huve kaha ke Shah Salman aur Wali Ahad shehzada Mohammad ben Salman ki zair qayadat Saudi Arab zindagi ke har shobay may taraqqi kar raha hai.
Dr. Zaid ne mazeed kaha ke Human Rights Commission khud mukhtaar idaara hai. ye insani huqooq ke bainul aqwami zabtoun ke mutabiq Saudi Arab may insani huqooq ke tahaffuz aur farogh ke liye koshan hai. ye Islami Shariat ke ehkaam ki roshni may insani huqooq se mutaliq aagahi ka bhi ihtemaam kar raha hai. Dr. Zaid ke bamujab Saudi Arab may ghair mulki karkunaan aur unke ahal-e-khanah ki tadaad ek Crore 25 lakh ( 12.5 Million ) tak hai. ye mumlikat ki kul abadi ka ek tahai hain aur ye mo-asar shakal may Saudi Arab ki taamer-o-taraqqi may hissa le rahay hain.
Dr. Zaid ne ye bhi bataya ke Saudi shehrioun aur muqeem ghair mulkion se shikayaat wusool karne ke liye khusoosi idaara kaam kar raha hai. jo bhi shikayaat masool hoti hain inhein munasib tareeqay se niptaya jata hai. 2018 ke adad-o-shumaar ke mutabiq tarkin watan ne Saudi Arab se 22.5 Arab Dollar se kahin ziyada raqam apne watan bheje. Saudi Arab may tarkin-e-watan apne watan ki taamer-o-taraqqi may tarseel zar ke zariye mo-asar kirdar ada kar rahay hain. -YTN STAFF