Monday, April 29, 2024
HomeSliderSaudi Arab maizban, G20 ka Online ijlaas

Saudi Arab maizban, G20 ka Online ijlaas

Riyadh: Saudi Arab ke wazeer tawanai shehzada AbdalAziz Bin Salman ne aalmi baradri se kaha hai ke bain ul aqwami maeeshat ko bohraan se nikaalne ke liye munasib laagat par tawanayi ki farahmi ko yakeeni banaya jaye. Tafseelaat ke mutabiq shehzada AbdalAziz Bin Salman ne G20 ke wazraye tawanai ke Online ijlaas ki maizbani ki is mauqa par unhoun ne kaha ke ghair mamooli halaat aur nihayat mushkil daur se guzar rahay hain. Is ka taqaza hai ke fori iqdamaat aur marboot intizamaa kiye jayen.

Saudi wazeer tawanai ke mutabiq ke naye Corona ki waba ke bhayanak iqtisadi aur sahet nuqsanaat duniya bhar mein mehsoos kiye jarahay hain. Bohraan ke baais duniya bhar ke mulkoun ke sahet nizaam mutasir huve hain aur iqtisadi sharah numoo ki tawaquaat kam hochuki hain. Aalmi maliyati mandioun mein anaa ki ki sorat e haal dekhnay mein aa rahi hai. Yahi manzar nama aalmi tail mandioun ka bhi hai. Is ke manfi asraat aman o istehkaam par bhi padenge.

Shehzada AbdalAziz Bin Salman ne is yaqeen ka izhaar kia keh tail mandioun mein be yakeeni ki sorat e haal ke asraat bohat saaray shobo par padinge. Un se sanat aur Transport ke shobay bhi mutasir honge. Mustaqbil mein tawanai ki tarseel par sarmaya kaari bhi mutasir hogi. Hydrocarbon aur tajdeed pazeer tawanai ke sar chashmoun par bhi buray asraat padinge.

Saudi wazeer tawanai ne kaha ke OPIC Policies mein shaamil mumalik ne tail mandioun ke istehkaam ke liye phir taawun ka azm zahir kiya hai. Tail manndi mein tawazun ki bahaali ke liye pedawar mein kami ke muahiday ki sab ne towseeq kardi hai Mexico is se mustashni hai. Jab tak wo is mein shaamil nahi hoga muahiday par amal daraamad nahi hoga.

Saudi Arab ne Mexico sameit G20 ke tamam rukan maalik se Appeal ki ke wo hungami iqdamaat karen. Insaaf, Masawaat, Shafafit aur hama girit ke usooloun par mabni tail manndi ke halaat mein istehkaam laane ki koshish karen.

Is mauqa par Americi wazeer tawanai ne kaha kay Corona ki waba aur Market mein tail ki bhaari rasad ne tabah kun sorat e haal peda kardi hai. Ab waqt aagaya hai ke tamam mumalik talabb aur rasad mein ghar bar ke maslay se sanjeedgi se nimtain. Roosi wazeer tawanai ne G20 se mutalba kia keh wo OPIC Policies ki koshisho ka sath den. Unhoun ne tail manndi mein istehkaam ke liye rabita committee ki tashkeel ki tajweez bhi pesh ki. –YTN STAFF