Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab ki janib se Australia mein Ramadan Ration taqseem

Saudi Arab ki janib se Australia mein Ramadan Ration taqseem

Melbourne: Australia mein Saudi sefaratkhane ne naye coronavirus ki waba se mutasir Musalmanoun mein Ramadan Ration Packet taqseem karaye hain. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq Saudi safeer Musaed bin Ibrahim Al-Saleem ne kaha ke sefaratkhane ne Australia ke Islami marakaz aur anjmnoun ke taawun se Australia , jamhooria fiji ke jazair, Neogani aur aas paas ke jazair mein abad nadaroun mein Ramadan Ration packets taqseem kara raha hai.

Shah Salman markaz Palestine mein 1015 Ramadan Ration Packet taqseem karachuka hai jabkay Gaza patti mein Ramadan Ration ki taqseem jari hai. Yemen aur Sudan mein bhi Ration ki taqseem ki ja chuki hai. Darin asna Thailand aur Cambodia ke sarkari TV ne roza daaroun ke liye khadim Harmin Sharifin Iftaar Ration Scheme par Program pesh kiya hai. SPA ke mutabiq wizarat Islami umoro dawat o rahnumai duniya ke deegar mulkoun ki terhan Bangkok mein bhi Iftaar Program chala rahi hai jis se Thailand ke mutadid ilaqoun ke zaroorat loog faida utha rahay hain. Roza daroun ke liye Iftaar Program ko duniya bhar ke Muslim halqoun mein pazeerai mil rahi hai. Novel coronavirus ke bohraan ke mad e nazar ghair Muslim bhi usay pasandeedgi ki nazar se dekh rahay hain.

Wizarat Islami umoor ne Bangkok mein idaara Shaikh Ul Islam ke Head Quarter mein roza daaroun ke Iftaar Program ki iftitahi taqreeb munaqqid ki aur 4 hazaar se ziyada Ramadan Ration packet taqseem kiye gaye. 30 hazaar roza daaroun ko Ramadan Ration packet taqseem kiye jayenge. Thailand ke tamam soboun mein ye flahi kaam anjaam diya jayega. Khusoosan janoobi sobon mein jahan musalman ziyada badi tadaad mein abad hain ye kaam tarjeehi bunyadoun par anjaam diya jayega.

Saudi safer Al-Saleem ne bataya ke ye program Cambodia simet 18 mumalik mein nafiz kiya jaraha hai is ka maqsad Muslim bhaiyon ke sath dainee rishtoun ko mazboot banana hai. Dr Al-Hamodi ne bataya ke Cambodia mein 10 hazaar se ziyada roza daroun ke liye 1500 Ramadan Ration packet taqseem kiye jarahay hain. –YTN STAFF