Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab ki Iraq mein nai hukoomat ko mubarakbad

Saudi Arab ki Iraq mein nai hukoomat ko mubarakbad

Riyadh: Saudi Arab ne Mustafa Al-Kadhim ki qayadat mein ban’nay wali Iraq ki nai hukoomat ka kher muqaddam karte huve umeed zahir ki hai ke Al-Kadhim Iraq ki khudmukhtaari aur aman o istehkaam se mutaliq Iraqi bhaiyoun ki umangoun par pooray utrenge. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq Saudi daftar e kharja ne bayan jari karkay yaqeen dilaya ke Saudi Arab baradare mulk Iraq ke sath khada hai aur bahami taawun, Ahteram, tareekhi rishtoun aur mushtarqa mafadaat ki bunyaad par Iraq ki nai hukoomat ke sath mil kar kaam karne ke liye tayyar hai.

Tamam shobo mein dono mulkoun aur un ke baradarane awam ke rishtoun ko mazboot banayenge aur bairooni mudakhlat se balatar rehtay huve khittay ke aman o istehkaam ki muhim mein bharpoor taawun kiya jayega. Khadim Harmin Shrifen Shah Salman Bin Abdalaziz ne nai hukoomat ki tashkeel aur Iraqi parliament se aetmad ka Vote milnay par Iraq ke naye wazeer e azam Mustafa Al-Kadhimi ko Mubarakbaad pesh kardi. Shah Salman ne apne pegham mein Al-Kadhimi ko mukhatib karte huve kaha ke aap ki qayadat mein nai hukoomat ki tashkeel aur Iraqi parliament se aetmaad ka vote milnay par mein Saudi awam o hukoomat aur khud apni janib se aap ko Mubarakbad pesh karta hon hamari naik tamannaye aap ke sath hain. Hamari dua hai ke Allah taala aap ko Iraq aur is ke baradarene awam ki Salah o Falah ki tofeq ataa kere. Saudi Wali Ahad shehzada Mohammad Bin Salman ne bhi Al-Kadhimi ko Mubarakbad pesh ki aur Iraq aur is ke baradarane awaam ku ke liye mazeed taraqqi o khushhali ki arzoo zahir ki. Iraq ke naye wazeer e azam Mustafa Al-Kadhimi ne 255 arkaan parliament ki mojoodgi mein guzashta roz halaf liya.

Al-Kadhimi ne parliament se aetmaad ka Vote milnay par apne khitaab mein kaha ke nai hukoomat bhoranoun ki nahi balkay inhen hal karne wali hukoomat hogi. Iraqi wazeer e azam ne yaqeen dilaya ke Iraq ko maidan jang bananay ki ijazat nahi di jayegi. Unhoun ne zor day kar kaha ke riyasati hatyar idaroun aur musallah afwaj ke qabzay mein honge. Al-Kadhimi ne kaha ke un ki hukoomat qabal az waqt shafaaf intikhabaat karanay ka iradah rakhti hai. Arab mumalik, Padosioun aur aalmi baradri ke sath taawun aur akhuwat ke rishte ustuwar kiye jayenge. –YTN STAFF