Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsSaudi Arab ke sayahati Visa ki muddat mein 3 mah khud-bakhud towsee

Saudi Arab ke sayahati Visa ki muddat mein 3 mah khud-bakhud towsee

Riyadh: Saudi Director General of Passport and Immigration jawazaat ki janib se mumlikat mein mojood sayahati Visa par muqeem berooni afraad ke Visa mein 3 mah ke liye khudkar towsee kar di gayi hai. Jawazat ki janib se jari aalamia mein kaha gaya hai ke sayahati visa par anay walay sayah jo coronavirus ki wajah se bain ul aqwami parwaazoun par ayed ki jaaney wali pabandi ke baais mumlikat se rawana nahi ho sakay un ke Visa ki muddat mein baghair kisi fees ke 3 mah ki towsee kar di gayi hai. 

Saudi khabar-rasan Agency SPA ke mutabiq Directorate General jawazat ne kaha hai ke sayahati Visa par anay walay wo afraad jo mumlikat mein muqeem hain aur wapas nah jasakay inhen apne Visa mein towsee ke liye jawazat se rujoo karne ki zaroorat nahi kyunkay unkay Visa mein khudkaar tor par towsee kar di jaye gi.

Jawazat ke bamujab sayahati Visa mein khudkaar towsee qaumi idaara maloomat ke taawun se ki jayegi. Qaumi idaara maloomat mojooda data ke hawalay se Visa ki towsee ka kaam marhala waar kerega jis se un logoun ko sahoolat hogi jo sayahati Visa par aaye huve hain. Yaad rahay Saudi Arab mein farogh sayahat ke liye guzashta baras jame nizaam muratab kiya gaya tha jis ke tehat mukhtalif mumalik ke shehrioun ko Saudi aamad par bhi sayahati Visa ka ijra shaamil hai.

Wazeh rahay mumlikat mein coronavirus ke baad March ke dosray haftay se parwazoun par marhala waar pabandi ayed kar di gayi thi jis ki wajah se Saudi Arab se janay walay aur yahan anay wali parwazoun par pabandi laga di gayi thi.

Saudi hukoomat ne apne shehrioun ko wapas laane ke liye marhala waar khusoosi parwazein jari ki huvi hain jin ka silsila abhi tak jari hai. Doosri janib parwazoun par ayed ki janay wali pabandi ki wajah se Saudi hukoomat ki janib se mumlikat mein muqeem aisay bairooni afraad jo apne watan jana chahtay hain ki wapas ke liye khusoosi mansoobah bhi jari hai jisay Oowda ka nam diya gaya hai.

Mansoobay ke tehat watan jaany ke khawahish mand apni tafseelaat darj kerwatay hain jaisay hi makhsoos mulk ke afraad ki matlooba tadaad jama hojati hai is mulk ki mutaliqa wizarat se rabita karkay wahan ke liye parwaaz ka bandobast kardiya jata hai. –YTN STAFF