Sunday, May 11, 2025
HomeSliderSaudi Arab ke pahad 37 million baras qadeem ka daawa

Saudi Arab ke pahad 37 million baras qadeem ka daawa

Riyadh: Saudi Arab mein King Abdalaziz University ke matehat tabqaat Al Arz ke Scholar ne kaha hai ke shumali Saudi Arab ke pahad 37 million baras qadeem hain. Scholar ne 3 se 30 Micro meter hajam ke hejri khalion ka jaiza le kar pahodon ki omar ka andaza lagaya hai. Ye apni noiyat ka pehla jaiza tha. King Abdalaziz University ke matehat samandari uloom ki Faculty ke professor Dr Mohammad Hamdi Al-Jahdali, ne kaha hai ke Florida State University mein Masters aur Ph.D ke tehqeeqi maqalay ki tayari ke douran bain ul aqwami muhim jo mashnon ki rafaqat mein tahaqeeq mein hissa leya. Al-Jahdali is hawalay se pehlay Saudi Scholar hain. Unhoun nay kaha hai ke shumali Saudi Arab ke pahad 37 million baras puranay tashkili anasir ka majmoa hain.

Media ke mutabiq samandari uloom ki Faculty aur Saudi Geological Survey Board ke mahireen ne shumali Saudi Arab ke pahodon ki omar ka andaza laganay ke liye Geological Survey kiye hain. Unhoun ne rawan saal August ke douran Survey ke nataij ek aalmi magazine mein shaya kiye hain. Al-Jahdali ne ye bhi bataya ke shumali Saudi Arab aur padosi mulkon ka bohat bada ilaqa ehad qadeem ke daur ke awakher mein nami gehray samandar ka hissa tha. Ye baat ab se 37 million baras purani hai.

Scholar ney jin maheen tareen mojoodaat par tahaqeeq ki hai wo marnay se pehlay pani ke oopar teer rahi theen aur wo samandar ki teh mein barish ki boundon ki shakal mein jaakar giri theen. Unhi se shumali Saudi Arab ke pahodon ki chatanein tayyar huven. Al-Jahdali ney bataya ke ye mutalea ab Saudi chatanoo ki  Geological omar mutayyan karne ke hawalay se apni noiyat ka pehla hai. Is ki Funding King Abdalaziz University Jeddah aur Saudi  Geological Survey  Board ney ki hai.