Friday, April 26, 2024
HomeSliderSaudi Arab ke America se taluqaat mustahkam: Shehzadi Reema bint Bandar

Saudi Arab ke America se taluqaat mustahkam: Shehzadi Reema bint Bandar

New York: America mein Saudi safeer shehzadi Reema bint Bandar kaha hai ke Saudi Arab khittay mein America ka qareebi ittihadi hai. Dono mulkoun ke mabain shiraakat daari intahi mustahkam hai aur ye iqtidaar ki tabdeeli se mutasir nahi hotay hain. Saudi Arab ke ek akhbar ko Interview mein unhoun ne kaha dono mulkoun ke darmain Strategic taluqaat 75 saal puranay hain. Is douran mukhtalif Challenges ka saamna karna pada jin mein sabiq soviet daur shaamil tha.

Jang khaleej aur tail ke bohraan ke alawa intahaa pasand tanzeemoun ki janib se milnay wali dhamkioun ke bawajood ye taluqaat mutasir nahi huve aur un mein har guzrte din ke sath behtari aati rahi. Shehzadi Reema ne dono mulkoun ke mabain taluqaat ko bar qarar aur mustahkam bananay ke liye mazakraat aur baat cheet ki ahmiyat ko buneaad qarar diya. Unhoun ne mazeed kaha baani mumlikat ke ahedse le kar Shah Salman ke daur tak Americi Saudi taluqaat mein hamesha behtari aayi hai. Ye taluqaat buneadi mushtarqa ahdaaf aur mafadaat par mabni thay jis mein awleen tarjeeh khittay mein aman o istehkaam ka qeyam aur bahami iqtisadi taawun ko farogh dena shaamil tha.

Unhoun ne kaha un tarjeehat par aaj bhi amal jari hai agarchay ruukawaton ka bhi saamna karna para lekin hum ne un ruukawatoun ko khatir mein na laatay huve tareekhi taluqaat ko mad e nazar rakh kar bahami mafadaat ke pesh e nazar kaam kiya hai. Ek sawal par unhoun ne kaha Saudi khawateen ki be shumaar khwahisaat aur khawab pooray huve hain jin ki wo taweel arsay se muntazir then. Saudi khawateen ko baikhtiar bananay ka amal Shah Salman aur Wali Ahad ke daur mein jari o sari rahay ga.

Saudi Arab mein khawateen ko har terhan ki azaadi o huqooq haasil hain jis ki duniya ke beshtar taraqqi yafta mulkoun mein misaal nahi. Saudi Arab mein qanoon ujrat ka hawala dete huve kaha mard aur khawateen kaarkunoun ki ujrat yaksaa hai. Aaj mein Saudi Arab mein khawateen ko ba-ikhtiar bananay ke amal par fakhr karti hon aur is baat par poora yaqeen rakhti hon ke mumlikat ka Vision 2030 Saudi khawateen ko aalmi Platform par misali maqam par faiz kere ga. –YTN STAFF