Thursday, April 25, 2024
HomeSliderSaudi Arab ke airport par drone hamla 8 afraad zakhmi

Saudi Arab ke airport par drone hamla 8 afraad zakhmi

Riyadh: Sarkari television ki report ke mutabiq junoob e magribi Saudi Arabia ke airport par drone hamle ke natije mein 8 afraad zakhmi aur ek shehri tayyare ko nuqsan pohuncha. Abha airport par gujishta 24 ghanton ke dauran yeh dusra drone hamla hain abhi tak kisi tanzeem ne hamle ki zimmedari qubool nahi ki hain.

Yamen mein Iran ki himayat yafta bagiyon se ladne wale saudi qiyadat wale fauji ettehad ne is hamle ke baare mein mazeed tafseel nahi batayi aur na hi halakaton ke baare mein tafseelat farahum kiye. Ittehad ne kaha ke uski afwaaj ne dhamaka khaiz drone ko rok liya. 2015 se Yamen ke hausi bagiyon ne Saudi qiyadat mein fauji Ittehad se lad rahe hain. Saudi Arabia ke ander fauji tanseebat aur tail ke ahem infrastructure ke saath bainul aqwaami airport ko nishana banaya hai.

Is hamle ke fauri taur par koe zimmedari qubool nahi ki gayi jabke gujishta 24 ghanton me Abha airport par is tarha ka dusra hamla hain. Is se pehle ka hamla jiska ilzam Yamen ke Iran ke himayat yafta hausi bagiyon par lagaya gaya tha. Tarmik ke paar bhikre huwe tukde tukde kar diye lekin koe jaani nuqsan nahi huwa.

Yamen mein hausiyon se ladne wale saudi qiyadat wale fauji ettehad ne is hamle ki tafseel nahi batayi aur na hi zakhmiyon ke baare mein tafseelat farahum kiye is se aage yeh kaha ke uski fources ne dhamaka khaiz drone ko rok liya hai. Yeh hamla Yamen ke junoob mein ek ehum fauji markaz par masielon aur drones ke takrane ke chand din baad huwa jis mein kam az kam 30 saudi himayat yafta yamni fauji halaak huwe aur mulk ki taweel khana jungi ke muhlik tareen hamlon mein se ek hain