Riyadh: Saudi Arab ka mashriqi shehar Al Ahsa duniya ke garam tareen shehroun mein shaamil hogaya hai. Al Ahsa ka daraja hararat 50 darjay centigrade se tajawaz kar gaya tha. Daraja hararat mein ghayr-maa’mooli izafay ke nateejay mein shehar mein nizaam zindagi buri terhan mutasir huwa hai. Doosri taraf wizarat insani wasail ney Al Ahsa mein garmi ki wajah se auqaatkar muqarrar kiye hain.
King Faisal University mein maahir mosmiyat afnan Al Malham ne media se baat karte huve kaha ke Al Ahsa mein jafora rait 3 atraaf se hamla karti hai. Rait ke garam honay ke nateejay mein garmiyoun ke Season mein shadeed garmi padtee hai. Al Jafora rait aabi zakhair se kahin ziyada taizi se hararat haasil karti hai. Is ke baad shumal se anay wali garam havaoun ki wajah se wo rait oodati rehti hai. Doosri janib hukoomat ne Al Ahsa mein garmi ki shiddat ko kam karne aur hawa ko saaf karne ke mutadid mansooboun par kaam shuru kiye hain. Al Ahsa mein aabb pashi ke umoor ke ek ohdedar Abdalaziz Al Rashood ne bataya ke Al Ahsa ke ateraaf mein 10 lakh khajoor ke darakhtoun ki ek patti qaim kar di gayi hai. Ye nakhlistan nah sirf kisanoun ko khajoor ki izafi aamdani faraham kere ga balkay is ke nateejay mein Al Ahsa mein honay wali shadeed garmi ki lehar par mehdood ki ja sakay gi.