Riyadh : Saudi arab mein ab berooni sayah sair-wo-tafrih ke liye visa haasil kar sakenge lekin iske liye sharait ka elaan kardiya gaya hai.
Saudi arab mein haal hi mein sayahati visa par apni policy tabdeel ki gayi hai. jiske baad hukkaam ki taraf se kaha gaya hai ke visa haasil karne ke liye 3 tareeqon par amal karna hoga.
Tafseelaat ke mutabiq Saudi arab bain ul aqwami sayahat mein qadam rakhtay hue tareekhi maqamat ke liye sayahati visa ka ajra 28 September se shuru kardiya hai, duniya bhar mein qaim Saudi sifarti khanoun ko ehkamaat jari kiye gaye hain.
Saudi hukoomat ki koshish hai ke 2030 tak muqami aur ghair mulki sayaho ki tadaad 100 million tak pohanch jaye.
Saudi arab ki sayahati visa ke husool ke liye darkhwaston ki vasuli ka aaghaz horaha hai, is visa ke jari honay ke baad miyad ek saal tak ke qareeb ho gi. is douran har doray mein mumlikat mein ziyada se ziyada 90 roz qiyam kiya ja sakay ga .
Ek saal ke andar mumlikat mein 180 roz se ziyada qiyam ki ijazat nahi hogi. isse qabal sayahati visa se mutaliq 10 ahem tareen haqayiq darj kiye gaye they. Visa ki fees 440 rial hogi. yeh visa Website ke zareya ya phir mumlikat pohanchanay par diya jayega. yeh visa 5 taa 30 minute mein nikalwaya jasakayga. is visa ki meyaad ek saal hogi.
Yeh visa 18 aur isse ziyada Umar ke logon ko jari kiya jayega. is visa ke liye mazhab ki koi shart nahi hai. sayahati visa haasil karne walay ke mumlikat mein dakhlay ke waqt is ke passport ki meyaad 6 mah se kam nah ho. visa ke haamil fard ko ek saal ke douran mumlikat mein 90 roz qayam ki ijazat hogi. is visa ka haamil Saudi arab mein 6 markazi raastoon se daakhil hosakayga.
Sayahati visa 3 tareeqon se haasil kiya jasakayga. sayaho ko jin teen tareeqon par amal karna ho ga woh ye hai
Pehla tareeqay mein Website ke zariye online registration ya chand minutes mein visa nikalwane ke liye tayyar ki gayi machinoun ka istemaal. sarhadi guzar gaahon aur airports par pohanchanay par visa ka husool. ( king Khalid airport, king abdul aziz airport, king Fahd airport , prince Mohammad bin Abdul Aziz airport aur al-Batha ki zameeni sarhadi guzargah ). ijazat Yafta mumalik mein Saudi arab ke sifarat khaanoun aur consul khaanoun ke numaindoun ke zariye bhi visa haasil kiya jasakega.
Yaad rahay ke Saudi arab ki janib se mulk mein sayahat ke wasee tar iqdemat aur sayahati visa policy ko aam karne ke baad sayahati shobay mein badey paemanay par sarmaya kaari aur roz-gaar ke mawaqay paeda honge.
Sayahat ke shobay mein muqami aur aalmi sarmayakar companies ke sath mutadid yad-dashitoun aur maahdon par dastakhat kiye hain jin ki majmoi maliyat taqreeban 100 arab ( 1 kharab riyal ) hai. yeh pesh Raft Saudi arab ki supreme authority baraye sayahat ki taraf se sayahat ke liye 49 mumalik se aaney walay sayaho ko aasaan sharait par visa ki farahmi ke aalanat ke baad samnay aayi hai. –YTN STAFF