Monday, April 29, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab Hindustan ko tail faraham karne wala sab se bada mulk

Saudi Arab Hindustan ko tail faraham karne wala sab se bada mulk

Riyadh: Saudi Arab Hindustan ko tail faraham karne wala sab se bada mulk ban gaya hai. April mein Saudi Arab ney Hindustan ko sab se ziyada tail faraham kiya hai aur tail ki farahmi mein Iraq ko peechay chod diya. Hindustan ki oil Refineries ney tail ke narkhon mein Record kami se faida utha kar Saudi Arab se khaam tail badi miqdaar mein daraamad kiya hai. Website ke mutabiq Hindustan ki oil Refinery poori duniya mein khaam tail ki daraamad mein teesray number par aagai hain.

Hindustani companiyon ne April mein Saudi Aramco aur phir Abu Dhabi ki Petroleum company ADNOC se khaam tail daraamad kiya hai. Saudi Arab aur Emarat ne April mein tail ki pedawar badha di thi aur narkh kam kar diye thay. Hindustan ne April mein Saudi Arab se yomiya 4.63 million barrel daraamad kiya. Ye March ke muqablay mein 5 feesad ziyada tha. Hindustan oil companiyon ne guzashta mah khaam tail ko Refine karne ka kaam mehdood kardiya tha. -YTN STAFF