Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab Carbon Free Petrol tayyar kerega

Saudi Arab Carbon Free Petrol tayyar kerega

Riyadh: Saudi Arab mein King Abdulah Petroleum Research and Study Center ney apne tehqeeqi maqalay mein kaha hai ke Saudi Arab carbon free petrol tayyar karne ke muaqqaf mein hai. Report mein ye bhi kaha gaya hai ke Saudi Arab G20 mein Recycle Economy apnane ki koshish kar raha hai. Tafseelaat ke mutabiq King Abdulah Petroleum Research and Study center mein 15 se ziyada mumalik ke aalmi mahireen tahaqeeq mein hissa le rahay hain ye center tawanai maeeshat par azadana tahaqeeq kara raha hai. Tehqeeqi maqalay ke mutabiq Saudi Arab Green sharah numoo ka hadaf haasil karne ke liye noa Policies apnaye huve hai.

 Saudi vision 2030 mein naye shehroun ke liye Green sharah numoo, Qaumi sanat ke farogh, Logistic khidmaat aur Digital Technology ka miyaar buland karne ki hosla afzai ki jarahi hai. King Abdullah Petroliam research and Study center ke bamujab poori duniya mein sab se kam carbon wala petrol Saudi Arab tayyar kar raha hai. Is bunyaad par wo mustaqbil mein carbon free petrol tayyar karne aur carbon ki sanwi masnoaat ki Recycling ke muaqqaf mein hoga.

Tehqeeqi maqalay mai bataya gaya hai ke Saudi Arab mamooli carbon walay Petro Chemical mawaad aur aala darjay ka chemical mawaad bar aamad karne wala sab se bada mulk ban jayega. Study Center ke Scholars ne kaha hai green mayeshiyat ki taraf Saudi Arab ki muntaqili ka tajurbah deegar mumalik se mukhtalif hoga. Is ka bada sabab ye hai ke tail aur gas nikaalte lagat Saudi Arab mein deegar mulkoun ke muqablay mein kam hai. –YTN STAFF