Wednesday, May 1, 2024
HomeSliderSaudi arab aur Qatar ki zameeni, samandari aur fazai sarhadein aaj kholi...

Saudi arab aur Qatar ki zameeni, samandari aur fazai sarhadein aaj kholi jayengi

Riyadh: Saudi arab ne Qatar ke sath 3 sala safarti tanaza ke khatmay ke maqsad ke tehat ek paish Raft muahiday ke zareya Qatar ke sath apni fazai hudood aur zameeni aur samandari sarhadein dobarah kholdi.

Tawaqqa hai ke aaj shumal maghribi Saudi shehar al wala mein khaleej taawun council (GECC) ke rehnumao ke salana sarbarah ijlaas mein qatri Ameer Sheikh Tamim bin Hamad al-sani bhi shareek honge. Insidaad e dehshat gardi ko arteet. Saudi arab, mutahidda arab imarat, Misar aur Bahrain ne June 2017 mein Qatar par safarti, tijarat aur safri pabandi aed kardi thi. Salisi ki haliya koshisho ki qayadat kuwait ke Ameer Sheikh Nawaf kar rahay hain aur unki koshish rang latayen deekhaee day rahi hai.

Kuwait ke wazeer kharja Sheikh Ahmed al-sabah ne kaha Sheikh Nawaf ki tajweez ki bunyaad par aaj shaam se mumlikat Saudi arab aur riyasat Qatar ke mabain fazai hudood aur zameen aur samandari sarhadoon ko kholnay par ittwa tawaqqa hai ke white house ke khusoosi musheer ke ek senior ohdedar ne kaha, hamein khaleej taawun council mein afratafri ka saamna karna pada hai. Muahiday ke tehat, charon mumalik Qatar par aayed pabandi khatam kar deinge.

yeh ek badi peishrft hai jis ke zareya naka bandi khatam kardi jayegi. Is ke zareya samaan ke sath sath mumalik ke darmiyan safar karne ki ijazat hogi. Is se khittay mein mazeed istehkaam peda hoga. Saudi walii ehad shehzada Mohammad bin Salman ne kaha ke Bartania ki policy salamti aur istehkaam ke husool ke liye GECC aur arab mumalik ke qaumi mafadaat ko haasil karne ke liye ek mustahkam tarz rasai par mabni hai. Wali ehad shehzada ne kaha GECC sarbarahi ijlaas ek jame simat hoga jo khitton mein ittehad, aman aur khushhali par mabni hoga.