Riyadh: Saudi Arab aur America ki behri afwaj ke ishtiraaq se khaleej Arab mein mushtarqa mashqen Mario Defender ka aaghaz hogaya hai. Tafseelaat ke mutabiq Saudi Arab ki Shahi behri afwaj ke Commander Lieutenant General Fahad Bin Abdulallah Al-Khafyali aur Americi Central Command mein panchwen Marion Flat ke commander Lieutenant General james Malloy ne mashriqi Flat mein King Abdul Al-Aziz behri markaz par mushtarqa samandari mashqoun Mario Defender ka iftitah kiya.
Is mashq ke douran Saudi Royal behria ke Commander Staff Lieutenant Fahad Americi Patrolling kashti par ( AKVI ) ke sath Panchwen Flat Commander James Malloy ke sath mojood they. Inhen mashqoun ke hawalay se tafseelaat faraham ki gayi.
Saudi Press Agency SPA ke mutabiq un mashqoun ke muntazim Brigadier General Mohammad Bin Hammeed Al-Ghamdi ne wazahat ki ke Marion defender ka maqsad samandari tahaffuz ko badhana, Ilaqai paanion ki hifazat karna aur fouji taawun ko farogh dete huve Saudi Royal behria aur Americi behria ke mabain jangi tajarbaat ka tabadlah karna hai. Un mashqoun mein shareek fareeqoun ko difai mozuaat par Lectures bhi diye jayen ge. Khayaal rahay ke guzashta haftay Saudi Arab ney America ke sath mushtarqa behri mashqen karne ka elaan kiya gaya tha. –YTN STAFF