Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsSaudi Arab anqareeb shamsi tawanai ka naya project shuru kere ga

Saudi Arab anqareeb shamsi tawanai ka naya project shuru kere ga

Riyadh: Saudi Arab ne bohat jald shamsi tawanai ka ek naya mansoobah shuru karne ka elaan kiya hai. Is se bohat kam laagat mein tawanai peda hogi. Saudi wazeer tawanai shehzada AbdAlaziz Bin Salman ne mumlikat ke zair e ihtimaam mustaqbil iqdaam institute ki Virtual conference mein guftagu karte huve is mansoobay ka elaan kiya hai. Is conference mein coronavirus ki waba ke maeeshat par asraat, Is ki bahaali aur tawanai ki aindah hikmat amlyoun ke baaray mein tabadlah khayaal kiya gaya hai.

Shehzada AbdAlaziz ney apni guftagu mein hum bohat jald shamsi tawanai ke ek mansobay ka elaan karne walay hain. Is se kam laagat mein fi kilo vat bijli peda hogi. Unhoun ney kaha ke coronavirus ke iqtisadi se ziyada insani nuqsanat huve hain. Insanoun ka taleemi zeyaa huwa hai, Un ki sahet aur jaanun ko nuqsaan pouncha hai. Taham coronavirus ki waba ke bawajood istehkaam ko barqarar rakhnay ke liye mansobay zir-e-ghor hain.

Unhoun neh mazeed wazahat ki hai ke hum muashi istehkaam ke maqasid aur sharah numoo ke nuqta nazar se virus ke asraat ko kam se kam rakhnay ki koshish kar rahay hain aur hamein is challenge ke bawajood apne agenday ko agay badhana hoga.

Shehzada AbdAlaziz neh kaha ke Saudi Arab duniya mein Hydro Carbon ke baday peda kanandah mumalik mein se ek hai. Saudi Aramco duniya mein kisi bhi doosri company se ziyada tail peda kar rahi hai. Is tanazur mein Saudi Arab mein shamsi tawanai aisay mansoobay green agenday ko agay badhaane ke liye badi ahmiyat ke haamil hain.

Is virtual conference ka unwan hum apne kurrah arz ko nahi bholte. Is mein jin mozuaat par izhaar khayaal kiya jana tha, Un mein fitrat ke tahaffuz ke liye kya sabaq sekhe gaye. Khangi aur sarkari shobay ke liye tawanai ke paidaar hal aur munafe khori ke aaiine se mahol ko kaisay dekha ja sakta hai?

Is Virtual conference ke dosray numaya shurka mein Saudi Arab ke sarkari sarmaya kaari fund ke governor aur Saudi Aramco ke Chairman Yaser Al Ramyan, Hindostan ki Reliance Industries ke chairman Mukesh Ambani, Jane Goodall Institute ke baani Jane Goodall aur France ki tawanai Firm Total SAK Chairman aur Cheif executive Petrick Poyane shaamil they.