Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsSaudi Arab 100 badi khandani companiyoun mein sare fehrist

Saudi Arab 100 badi khandani companiyoun mein sare fehrist

Riyadh: Saudi Arab 36 companiyoun ke sath mashriq wasti mein 100 badi taaqatwar tareen Arab khandani companiyoun mein sare fehrist aagaya. Website ke mutabiq Forbes ney mashriq wasti ki 100 badi khandani companiyoun ki fehrist jari karkay bataya ke companiyoun ki tadaad ke hawalay se emarat dosray aur Kuwait teesray number par hai.

Mashriq wasti ki ye khandani companian kayi nasloun se chal rahi hain. Ye muqami companiyoun ki hesiyat tabdeel karkay ilaqai aur bain ul aqwami companiyoun ka rutba haasil kar chuki hain aur aalmi satah par muqablay mein hissa le rahi hain.

Middle Forbes Website ke mutabiq mashriq wasti ki 100 taaqatwar tareen Arab khandani companiyoun mein 2020 ke douran 6 lakh se ziyada mulazim hain. Khandani companiyoun ki fehrist mein Arab duniya ke 10 taaqatwar tareen khandan shareek hain un ki majmoi doulat 31 Arab Dollar se ziyada hai.

Khandani companiyoun mein Misar ka Mansoor Group pehlay number par hai. Mohammad Yasen aur Yousuf Mansoor is group ke quied hain. Unki majmoi doulat 7.4 Arab dollar hai. Emarat ka  Al Futtaim Group fehrist mein dosray number par hai. Is ka maalik Arab patti Abdullah  Al Futtaim hai. Ye gadiyoun ke dealer, Malbosaat, Malls aur markets mein bhaari sarmaya lagaye huve hai.

Saudi Arab ka Olayan Group fehrist mein teesray number par hai jabkay companiyoun ki tadaad ke hawalay se mumlikat awwal hai. Taaqatwar tareen 100 Arab khandani companiyoun mein 10 companian aisi hain jo 100 saal se ziyada purani hain. Un mein 13 companian aisi hain jin ke qiyam par 75 se 100 baras tak beeet chuke hain.

Fehrist mein shaamil 80 feesad khandani companian aisi hain jo apne yahan ya ilaqay ki satah par bain ul aqwami tijarti market haasil kiye huve hain. Fehrist mein 15 aisi khandani companian hain jinhein khandan ki teesri nasal chala rahi hai. 47 companian wo hain jin ki qayadat khandan ki doosri nasal ke paas hai aur 38 companian pehli nasal ke hathoun mein hain.