Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsSatah Samandar May Tashweesh Naak Izafah, 18 Crore Afraad Ke Be...

Satah Samandar May Tashweesh Naak Izafah, 18 Crore Afraad Ke Be Ghar Hone Ka Khadsha

Washington :  Mousamiyati  tabdeeli se aaj duniya bhar ke taqriban sabhi mumalik pareshan aur fikar mand hai aur ab to taaza tareen report mazeed tashweesh naak hai mousamiyati  tabdeeli ke zimn mein haal hi mein jari ki gayi report ke mutabiq is sadi ke ikhtataam tak samandar ki satah mein 2 meter ya saadhay 6 foot tak izafah ho sakta hai jis ke nateejay mein kadoro afraad mutasir honge .

Haal hi mein jari ki gayi yeh report aqwam-e-mutahidda ki janib se satah samandar mein izafay se mutaliq jari kiye gaye andazay se dugni hai. khayaal rahay ke green land aur Antarctica mein mojood barf ke tukde duniya mein samandar ki satah ko kayi darjan meter tak badh sakte hain, is ke sath hi samandar garam honay se pani ke phelao ki wajah se satah samandar mein izafah ho raha hai. taham kurrah-e-arz par darjah hararat mein izafay ki wajah se glaciers ke pighalnay ki sharah ki paish qiyaasi karna intahi mushkil hai .

Aqwam-e-mutahidda ke panel  ( IPCC) ne 2013  assessment report mein kaha hai ke green house gisz ke ikhraj ki miqdaar RSP 8.5 mein, 2100 tak ek meter ka izafah hojaye ga. is waqt se le kar ab tak is paish qiyaasi ko qidamat parast maana jata hai kyunkay kurrah-e-arz ke darjah hararat mein izafah karne wali green house gas mein salana ki bunyadon mein izafah ho raha hai. is ke sath hi satellites mein Antarctica aur green land mein moujood barf posh ilaqon ke pighalnay ki sharah mein bhi izafah ho raha hai .

rawan haftay duniya ke naamwar science danon ke group ne apne tajrubaat aur mshahdat ki bunyaad par sorat e haal par mahirana faisla jari kya. unhon ne kaha ke gisz ke mojooda kharaaj ki bunyaad par 2100 tak satah samandar mein 2 meter ka izafah munasib hai. report mein kaha gaya ke samandar ki satah mein izafay ki wajah se France , Germany , spain aur Bartania ke raqbay ke barabar zameen ka nuqsaan hoga jis ke nateejay mein 18 crore afraad be ghar hojaienge .

Unhon ne mazeed kaha hai ke satah samandar mein is shiddat ke izafay ki wajah se insaaniyat par gehray asraat muratab honge. 2015 mein Paris mein mousamiyati  tabdeeli se mutaliq Manzoor kiye gaye muahiday mein aalmi darjah hararat ko 2 degree centi grade se kam ( 3.6 height ) tak mehdood karne par ittafaq kiya gaya tha. guzashta baras october mein IPCC  ne ek report jari ki thi jis mein koylay, tail aur gas ke istemaal mein fori kami ka mutalba kiya gaya tha taakay fiza mein green house gisz ki taizi se badhti sharah ko kam kiya jasakay. taham report mein satah samandar mein izafay se mutaliq adaad wo shumaar jari nahi kiye gaye thay .

Proceedings of the national academy of sciences journal mein shaya ki gayi nai tahaqeeq ke musanifeen ne kaha ke IPCC ki janib se satah samandar mein izafay ki paish gayi ki tavajja un imkanaat par markooz thi ke mustaqbil mein kiya ho sakta hai . –YTN STAFF