Sunday, April 28, 2024
HomeSliderSarkari aur khangi dawakhanon mein ghair Corona mareezon ke ilaaj ki tayyariyan

Sarkari aur khangi dawakhanon mein ghair Corona mareezon ke ilaaj ki tayyariyan

Hyderabad: Mehakma Medical and Health ki janib se sarkari aur khangi dawakhanon mein ghair Corona mareezon ke ilaaj ko dobarah shuru karne ke tamam tar intizamaa kiye jarahay hain kyunkay riyasat mein Coronavirus ki sorat-e-haal din badan kam hoti jarahi hai lehaza tibbi khidmaat jo pichlle 6 mah se maflooj hain woh bohat jald logon ke faiday ke liye dobarah shuru ho jaien gi.

Coronavirus phelnay ke baad ilaaj ke liye dawakhanon mein jane walay logon ki tadaad kam hogayi hai. Dawakhanon mein sirf corona misbet, Haamila khawateen, Shadeed qalbi pechidgion ka shikaar aur sadak hadsaat mein zakhmi honay walay afraad ka ilaaj kiya ja raha hai jabkay un ke ilawa doosron afraad ko ek intezaar aur nigah rakhnay wala rawayya ikhtiyar karna padh raha hai ya phir inhen apna ilaaj multawi karna pada hai.
Mehakma Medical and Health ke ohdedaron ke sath sorat-e-haal ka jaiza lainay ke baad wazeer sehat Etala Rajender ne Coronavirus ke phelao par qaboo panay ke liye munasib ahteyati tadabeer par amal ke sath moattal khidmaat ko dobarah shuru karne ka hukum diya. Ijlaas mein Covid ke liye mukhtas beds ko kam kiye baghair dosray Wards mein mukammal pemanay par ilaaj shuru karne ka faisla kiya gaya hai. Sarkari shobay mein 22 teaching aspatalon aur un se wabasta sehat ki sahuliyaat, 100 ilaqai dawakhanon, Zilai dawakhanon, Masharti sehat marakaz mein bistar ki kul tadaad 22 hazaar hai. Taham sarkari dawakhanon mein 8,868 Covid beds mareezon ke ilaaj ke liye makhsoos kardiye gaye hain.

Medical and Health Department ki ek report ke mutabiq guzashta roz tak Covid mareez sirf 25 feesad bistaron mein hi ilaaj karwa rahay hain. 230 khangi dawakhanon mein mukhtas 9484 Beds mein se sirf 34 feesad bistar hi pur hain. Sarkari shobay mein 70 feesad bistar khaali hain. Covid-19 ke kul mareezon mein se 80 feesad ghar mein allag thalag rahay kar ilaaj kerwatay hain. Sirf wohi loog jin ki daimi alamat hoti hai woh hi dawakhana mein dakhilay ke khwahan hain. Darin asna dawakhanon mein marhala waar andaaz mein tamam dawakhanon mein corona mareezon ke baad ab ghair corona mareezon ka ilaaj dobarah shuru kiya jaye ga. Medical amlah ko taqseem kiya jaye ga aur Covid aur ghair Covid ilaaj ke liye inhen khidmaat faraham ki jayen gi.

Mehakma sehat ke ek senior ohdedar ke mutabiq Gandhi Hospital jo ke Telangana ka Covid nodal markaz hai is mein mareezon ke liye out patient khidmaat aur deegar tibbi khidmaat ka marhala waar dobarah aaghaz kiya jaye ga. Bohat se khangi dawakhanon ne Covid ke mareezon ke liye Quarantine ke bistaron ko kam kardiya hai aur unhein intehai nighdasht ke Unites ( ICU ) mein izafah kiya hai. Ahem baat yeh hai ke khangi dawakhanon ke allag thalag Wards mein 3000 se ziyada bistar ek mah ke arsay mein kam kiye ja chukay hain.