Thursday, April 25, 2024
HomeIndiaSarkari auhdedar par rejistered car ke lakho rupiyon ke challan kab aur...

Sarkari auhdedar par rejistered car ke lakho rupiyon ke challan kab aur kaun adaa kareiga

Hyderabad: Twitter par ek post jis mein dawa kiya gaya hain ke sarkari muhkamon ke naamo par registered four wheeler aur Telangana hukoomat mein aala auhdon par fayez afraad ki gadiyon par lakho rupiye ke challan hain jo hunooz adaa nahi kiye gaye hain. Riyasati hukoomat ki E-challan website ke aadaad o shumaar ke saath social media platforms par post ki fauri baad uski tasdeeq ne bataya ke principal secretary of Telangana ke naam registered car par 45540 rupiye maliyat ke 44 challan hain jo hunooz adaa nahi kiye gaye hain.

Ek aur gaadi jo district collector aur magistrate ke naam par registered ki gayi thi is mein 22905 rupiye maliyat ke 23 challan hain jo adaa nahi kiye gaye hain. Iske alawa ek aur gaadi jo hanumat shinde ke naam se registered hai jo Telangana ke jo kal se muntaqab leader hain 35325 rupiye maliyat ke 35 challan hain. Adilabad se purnam Satish Kumar ke naam se registered car aur khanoon saaz consil ke rukun hain is gaadi par 27180 rupiye maliyat ke 28 challans darj hain.

Is tarha collector aur district magistrate ke Naam se registered ek car par 34385 rupiye maliyat ke 31 challans hain jo adaa shudni hain. Ek aur gaadi jo chief commissioner of land administration ke naam se registered hai uske 28 adaigi shuda challans hain jinki qeemat 27580 rupiye hain. Sirf in 6 cars se 192915 rupiye ki raqam zaire iltewa hai jis se yeh hairat hoti hain ke awaami khidmat ke deegar numaindo ke naam par registered shuda gadiyon par kitne challans maujood honge aur jin ki raqam kitne lack mein hogi social media sarifeen ne sawal kiya ke challan kaun adaa kareiga aur hairan kun haqeeqat hai ke shayed tax dahindagan ko hi yeh boj bhi utana padeiga.