Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadSantosh Nagar flyover Bridge, Awam ke liye masail ka markaz

Santosh Nagar flyover Bridge, Awam ke liye masail ka markaz

Hyderabad: Mutadid tamirati kaam jo pooray shehar khusoosan maghribi zone mein lockdown ke douran poori shiddat ke sath kiye gaye they, Aakhri tareekh se bohat pehlay takmeel ke qareeb hain. Isi terhan Santosh Nagar mein flyover ki taamer bhi taizi se mukammal hurahi lekin jab se 5.0 lockdown shuru huwa to kaam ki raftaar ne apni raftaar khode hai. Ibtidayi lockdown ke douran sadak par shayad hi koi gaadi  mojood thi aur kam baghir kisi pareshani ke huve they . DRDL se Midhani X Roads ke zariye owaisi Junction tak shuru honay wali poori sadak ko tamirati kaam ke liye le liya gaya hai lekin narmi ke sath traffic ko jaam honay lagi hai. Pichlle 2 mah se sadkain khaali theen jis ki wajah se sadak ke tamirati kaam taizi se chal rahay they. Taham ab sirf raat ke auqaat mein hi lockdown ki pairwi ke baad ohdedar zair iltiwa kaam mukammal karne jaldi baazi dikha pare hai hain.

Mohammed Ahmed jo is rastay ke ek baqaida musafir hain unhoun ne kaha ke  gaadioun guzarnay yahan se aaasaaan nahi hai  aur towel arsay se traffic mein phansay rehtay hain aur musafiroun ko takleef ka saamna karna padta hai. GHMC ke ohdedaroun ke mutabiq unhoun kaam Champapet ( Sagar Road ) ke qareeb SBI Bank se Phisalbanda ( Chandryangutta Road ) mein 2Junction ko uboor karte huve Owaisi hospital Junction aur Medhani moud se guzarta hai, Jo puranay shehar ke sab se baday jari mansooboun mein se ek hai. GHMC ohdedar ne kaha jaisay hi flyover ke sutonoun ka kaam mukammal hojaye ga, Wahan traffic ko jaam nahi kiya jaye ga.

Riaz Nagar division ke Corporator Mirza Saleem Baig ne kaha ke GHMC commissionaire ki hidayat par flyover ke tamirati kamoun mein taizi aa rahi hai aur HMWSSB ke zareya traffic ki wajah se zair iltiwa Sewerage ke kaam mukammal hogaye hain. Saleem Baig ne kaha ke sadak yaksaa hogi aur usay traffic police ke zair control hai aur sutonoun ka kaam mukammal honay ke baad sadkain musafiroun ke liye azad hongi.