Saturday, May 10, 2025
HomeIndiaSantosh kumar Gangwar ke bayan par Priyanka Gandhi ne kiya sakht tanqeed

Santosh kumar Gangwar ke bayan par Priyanka Gandhi ne kiya sakht tanqeed

New Dellhi : Congress ki general secretary Priyanka Gandhi ne itwaar ke roz, markazi wazeer mumlikat baraye mehnat aur rozgaar, Santosh kumar Gangwar ke is bayan par mulk mein mulaazmaten mojood hain, lekin mulazimat ke mutlashi shumali hindustan ke noujawan iske ahal nahi hain“ par tanqeed ka nishana banaya, aur tweet karte hue kaha ke ”aap paanch saal se hukoomat mein rehtay hue bhi, rozgaar paeda nahi kar sakay, jo mulaazmaten reh gayeen, woh muashi sust rawi ki wajah se khatam ho gayi hain.

Noujawanon ka mutalba hai ke hukoomat kuch karegi, magar kuch bhi nahi kiya gaya hai. aap shumali hindustaniyoun ki is tarhan yeh kehkar touheen nahi kar sakte ke woh mulazimatoun ke liye ahal nahi hain. –YTN STAFF