Sunday, May 5, 2024
HomeHyderabadSankranti tehwar ke liye ghar jana mehanga padh sakta hai

Sankranti tehwar ke liye ghar jana mehanga padh sakta hai

Hyderabad: Sankranti ka tehwar qareeb hai aur log apne aabadi maqamat ki taraf safar karte hain taakay apne Aziz wo aqareb ke sath tehwar mana sakay lekin is martaba shayad unka yeh safar mehanga saabit hoga. Woh log jo is tehwar ke liye apne aabadi maqamat par jane ka iradah rakhtay hain un ke ghar jane ka aasaan rasta nahi hai. Buses aur trains mukammal tor par booked hain.

Dar haqeeqat in dinon ke liye ticketon ki reservation 2 mah qabal band kardiye gaye thay. trains mein intezaar ki fehrist taweel arsay tak chal rahi hai jis se tehwar ke liye apne aabadi maqamat par jane ke mansoobon par nazar sani karni padhsakti hai. Alawa azeen nai Trains ki khidmaat ka elaan nahi kiya jata tab tak shehar ke bashindon ke liye tlgo reyaston mein unke aabadi maqamat ko wapas jana mumkin nahi hai. Yaad rahay ke south central railway ne covid-19 ki hidaayat ke mutabiq secunderabad, Nampally aur KachiGuda stationon se chalne wali 80 baqaida express trains aur 120 musafir trains ko mansookh kardiya hai.

Unki jagah sirf mehdood train khidmaat marhala waar chalaye jarahi hain. Secunderabad . vishakhapatnam Godavari express ke liye 10,11 aur 12 January ko intezaar ki fehrist 300, 340 aur 399 tak ja chuki hai. Railway hukkaam ne Mumbai ke rastay bhubhaneshwar express, Secunderabad  – bhubhaneshwar  express par un teen dinon koi nishist ki mojoodgi ka ishara nahi diya hai. Falaknuma express 10, 11 aur 12 January ko secunderabad aur machlipatnam express ki waiting list ka fi taweel hai. in dinon rayalseem express ki waiting list 97 tak hai. Agarchay self drive cars ka kharch kam hosakta hai lekin taxi jaisay Ola aur uber ke zariye safar na sirf mehanga hai.