Friday, May 3, 2024
HomeIndiaSanitizer peenay ke baad 3 afraad ki mout. AP mein waqea

Sanitizer peenay ke baad 3 afraad ki mout. AP mein waqea

Amravati: Sanitizer ke peenay ke baad 3 afraad ki mout hogayi. Ye waqea AP ke zila Kadapa mein pesh aaya. Jummay ko zila Prakasham  ke Kurichedu  aur Pamooru mawazaat mein Sanitizer ke istemaal ke baad 13 afraad ki mout hogayi thi. Un mein se beshtar bhikaari aur mazdoor they. 10 afraad ki mout Kurichedu  gaon mein aur 3 ki Pamooru  gaon mein hui thi. Naye maamla mein 3 afraad ki mout zila Kadapa ke Penlimurri gaon mein huvi. Zaraye ne kaha ke chunkay sharaab dastyab nahi thi isi liye un afraad ne guzashta ek hafta ke douran hathon mein lagaye jaanay walay Sanitizer ka istemaal nasha ke liye shuru kardiya tha. 2 afraad jinhon nay is ka istemaal kiya tha un main se ek ki mout mauqa par hi hogayi.

Dosray ki mout Rims hospital mein ilaaj ke douran huvi aur teesray shakhs ki mout aaj subah is ke ghar mein hui. Police ne Sanitizer ki khaali Bottels ko zabt kiya aur un ko muaina ke liye lib bhaij diya gaya. Muqami afraad ne nishandahi ki ke ye afraad taqreeban ek hafta se Sanitizer ka istemaal kar rahay they. Muqami afrad ne police ko is baat ki ittila di. Marnay walon ke arkaan khandan ne kaha ke ye afraad nasha ke aadi thi aur chunkay sharaab un ko guzashta chand hafton se aasani se dastyab nahi horahee thi isi liye un afraad ne Sanitzer ka istemaal shuru kardiya.

Police ny is silsila mein ek maamla darj karliya aur jaanch shuru kar di. Is Telugu riyasat ke mukhtalif maqamat par Sanitizer aasani ke sath dastyab hain taham baaz afraad ne nasha ke liye un ko khareedna shuru kardiya hai. Marnay walon ki shanakht chuna Chinna Keshavlu, Bhimaya, aur Obulesh ke tour par ki gayi hai. Obulesh ki mout Rims mein ilaaj ke douran huvi. Bhimaya ki mout is ke ghar ke qareeb huvi aur is ki laash postmortem ke liye Rims muntaqil ki gayi.