Friday, April 26, 2024
HomeHyderabadSania Mirza ne wazan kam karne ka raaz faash kardiya

Sania Mirza ne wazan kam karne ka raaz faash kardiya

Hyderabad: Hindustani Tennis star Sania Mirza ne apni ek post mein wazan kam karne mein darpaish masail aur un ka hal bata diya. Samaji raabtey ki Website Instagram par Sania Mirza ne apne badhay huve wazan aur wazan kam kar lainay ke baad ki tasweer shaya karte hue likha ke 89 kilo ba muqabla 63 kilo. Unhoun ne likha ke hum sab ke hi kuch ahdaaf hotay hain, Apne tamam ahdaaf haasil karne ke liye sad feesad koshish karen aur phir nataij dekhen.

Unhoun ne apna wazan kam karne ke hawalay se kaha ke ek bachay ki paidaiesh ke baad sayhet mand honay aur 26 kilo wazan kam karne ka hadaf 4 mah mein haasil huva. Unhoun ne likha ke fitness haasil karne ke bad Tennis court mein wapas aana aur badi satah par khelna ek lamba safar dikhayi deta hai. Unhoun ne madahoun ko pegham diya ke apne khowaboun ki pairwi karen, Khuda jaanta hai ke aap ki hosla shikni ke liye aap kea rd gird kitne loog mojood hain lekin aap ko un se koi farq nahi padna chahiye.

Sania Mirza ne khud yaqeen rakhnay ki nasiyaat bhi ki. Yaad rahay ke Pakistan cricket team ke sabiq captain Shoaib Malik aur Tennis star Sania Mirza 12 April 2010 ko shadi ke bandhan mein bandhay they. Saal 2018 ko un ke haan betay ki paidaiesh huvi thi, Star jodi ne betay ka naam Izhan Mirza Malik rakha jis ke maienay Danish aur samajh daar ke hain. –YTN STAFF