Hyderabad. Tennis Star Sania Mirza ne Yaum e Aazadi ke mauqa par pauda lagaya. Sania Mirza ne Harita Haram Programme ke hissa ke taur par 72 wein jashnn azaadi ke mauqa par pauda lagaya. Unhon ne kaha ‘mein ne Sania Mirza Tennis Academy mein parcham kushai aur Yum e Aazadi taqreeb ke baad Harita Haram Programme ke hissa ke taur par pauda lagaya hai.” Sania Mirza ne Wazir e sanat o hirfat, baldi nazam o nasq, Information Technology Minister ke T Rama Rao aur American Consul General Hyderabad Cathrine Hadda ka is Chanlange aur pehal par shukriya ada kya. Unhon ne apne tweet paiyaam mein kaha ke woh apne tamam Social Media family ko sabz mustaqbil ke liye naamzad karti hain.